Ek chahra jo mere khwaab saja deta h
Mujhko mere hi khyaalo me sada deta h
Wo mera kon h maloom nhi...
Lakin jb bhi milta h. Apne pehlu me jagah deta h.
Me jo ander se kbhi toot k bikhru...
To wo mujhko thaamne k lie haath badha deta h.
Me jo tanha khii chupke se bhi Rona chahu...
To dil k darwaze ki janjeer hila deta h.-
Agar yaqeen nhii aata,to aaznaiye mujhe.
Wo aaina h, to aaina dikhaiye mujhe.
Ajeeb charaag hu,din raat jltii rhti hu.
Me thak gyi hu, haawa se kaho, bujhaye mujhe.
Me jiski aakh ka aasu thi,usne qadr na ki.
Bikhar gyi hu,to ab ret se uthaye mujhe.
Me chahti hu,ki tum hi mujhe izazat do,
Tumrharii tarah se koi gale lagaye mujhe.— % &-
yu hi nhi khte inhe
"king of words"
har ek lafz inka dil ko choo jaata h...
shyaro ki is duniya me hr shyr ko inki...
shyrii ka intzaar jo rhta h.-
Is ishq me drkaar, kahani h zaruri.
Tum zakhm aata krdo, nishani h zaruri.
ik baat h, jo tujhko btani h zaruri...
Pr zahen me mere bhi to aani h zaruri.
Kitna hi ghana q na ho, ab raah ka jungle.
Lakin merii mnjil,mujhe paani h zaruri.
Khushki PE hawa, rhne na degi koi manzar.
Aakhen h mere paas, to paani h zaruri.-
Mera din khubsurt bna dete to kiya hota.
Wo hmko yu pyar se aakr jaga dete to kiya hota.
Bhut waade kiye the aapne to sath rhne k.
Mohabbat me agr ek do nibha dete to kiya hota.
Me kab se muntazir thi....
Aapki nzr-e-karamat kii....
Jo lamhe bhar ko hi chehra dikha dete to kiya hota.
Me apne zakham khud hi dekhkr khud se ye khti hu...
Wo Hans kr taal jate h, saza dete to kiya hota
-
Chiraag saamne Wale makaan me bhii na tha...
Ye saneha,mere zehan me bhi na tha.
Jo phle roj se, do aangano me tha hail...
Wo faasla to zameen,aasmano me bhi na tha.
Ye gum nhii k hm dono,ek ho na ske...
Ye runj h ki koi drmiyaan me bhi na tha.
Hawa na jaane kha le gyi wo teer...
Ki jo nishaane pr bhi na tha or kamaan me bhi na tha.
Phlii shanasaai ka wo ek lmha...
Use bhi yaad na tha,mere dhiyaan me bhi na tha.-
Khayaal jiska tha mujhe.....
khayaal me hi Mila muje.
Sawaal ka jawaab bhi...
Sawaal me Mila mujhe.-
Me dhundti hu Jise, wo Jahan nhi milta.
Nayii zameen, Naya aasma nhi milta...
Nayii zameen Naya aasma mil bhi Jay....
Naye basher ka khi kuch nisha nhi milta.
Wo teg mil gyii jisse hua h katal Mera..
Kisi k hath ka uspr Nisha nhii milta.
Jo ek khuda nhi milta to itna matam kyu...
Yha to koi Mera hm-zubaa nhi milta.
Khadi hu kbse chehro k ek jungle me...
Tumhare chehre ka kuch bhi yha nhi milta.-