Raat jag ke, unhe yaad krke, kuch nhi milta,
Fhr subah ro ke, unka last seen check krke, kuch nhi milta.
Nhi milta kuch ab sahi me nhi milta.
Koshish lakh karlo par bin naseeb yahan kuch nhi milta,
Faisle tere ho ya mere, yahan to mujhe tu na mila,
Chahe jitni lagado shiddat, yahan kuch nhi milta.
-
â¤ď¸đ¤â¤ď¸
Vo aziz log hi hote hai jo chale jate hai.
Apni jagah dil ke kisi kone me muqammal kar hi jate hai
Naam to nhi lete hum unka har roz,
Par unki jagah kisi aur ko de bhi nhi pate hai.
Shyd isi lie aziz log hame chod ke chale jate hai.
-
Mere mann me tumhare lie ek sawal hai, ki kya
Kya tum sach me mere lie khud se lad nahi sakte?
Mere lie,khud se bagawat nahi kar sakte?
Kya sach tum mujhe paane ke lie vo naaw nahi chadh sakte,
Mujhe beech majdhar me khud ko chodne se rook nahi sakte?
Kya sach me tum mere lie itna nahi kar sakte?
Kya sach me mere sath se zyada tumhre lie tumhari majbori zaruri hai?
Kya sahi me unka sath mere sath se zyada zaruri hai?
Kya sach me tum mere lie unse, ya khud lad nahi sakte?
Kya tum sach me hamare muqammal hone ki khushi mujhe de nhi skte?
Kya sach me mere bayan kie gai sapno ke lie tum khud se lad nahi skte tum?-
Teri shiddat dekh ke pagal si hui main,
Fhir teri majburi dekh ke tut si gai main.
Suna tha ki shiddat se chaho to kuch bhi mil jata hai,
Par teri majburi ke aage mera bhi dil aata hai.
Ye nahi kahti main ki teri shiddat me kami thi,
Par teri to main kabhi rahi hi nahi thi.
Khud ko yuhi manati rahi,
Dil jo yuhi rulati rahi,
Par teri majburi teri shiddat se Jeet to gai
Tumhe mujhse hamesha ke lie chin to gai.
-
Sirf mohabbat bolne se mohabbat ho nahi jati,
Chahat hai bolne se chahat ho nahi jati,
Mohabbat dikh to nahi sakti,
Par fhir bhi bahut kuch dikha deti hai,
-
Na hi vo sawal mere lie the,
Na hi vo.
Main abhi bhi apne hi gumaan mein thi,
Ki unki sari shikayatein mere lie hi thi.
-
Exact ek hafte ke baad khawab me aane ka matlab samjhaoge,
Yahan bhi last time ki tarha gussa dikhane ka matlab samjhaoge,
Na us din samjhe, na aj samjhe, iska matlab samjhaoge.
Jab khawab me tum aai to apni harkat ka matlab, tum hi sumjhaoge,
Mujhse yoon baat na krne ki wajah batlaoge,
Matlab ka to ye rishta bhi na tha,
Par itna sab karne ka matlab samjhaoge.
-
Ek tohfa rah gaya hai apka mere pass ,
Jo maine khareeda hi nahi.
Socha tha itmenan se,
Vo apka toofah apke naam krte.
Par toofah dene se pehle hi,
Aap sath chod gai,
Ab jab bhi us gali se guzarti hoon ,
To apka vo toofah dikh hi jata hai .
Meri aankhon ko nam fhir se, kar hi jata hai.
Qki ,
Apka ek toofah rah gaya hai mere pass,
Jo maine khareeda hi nahi,
-
Ab shayad vo mere nahi.
Q ki Mera unpe aikhtiyar nahi ,
Mujhe unhe apna kahna ka haq nahi.
Mera unpe gussa karna haq nahi.
Mera unka intezar karna mera haq nahi.
Ab shayad mera kuch bhi nahi.
Qki ab vo mere hi nahi.-
Mat kar kisi baat par afsos meri jaan,
Jo beech raste me chod jate hai,
Vo laut ke kabhi wapis nahi aate.
-