Saniya Chiplunkar   (Sani_iqbal)
48 Followers · 5 Following

🖋📝✍
Joined 30 July 2019


🖋📝✍
Joined 30 July 2019
11 JUL 2020 AT 20:18

Uska rawaya bhi thik hai galib,
Main hi samaj baitha usko aapna mureed galib,
Main jo kheta firta tha woh toh mera mureed hai galib,
Usne aab badalne ki than hi li galib!

-


8 JUL 2020 AT 15:20

Zindagi ulji ulji si hai,
Kismat ruti ruti si hai,
Kya pata kya chal raha hai meri zindagi aur kismat mai,
Meri mojudgi mari mari si hai!

-


7 JUL 2020 AT 22:36

Dard ko mehsus kar k maine likna sikha,
Aapno ne jo choda mujhe maine jina sikha,
Aata toh mujhe ye kuch nahi tha,
Shaq karna maine waqt se sikha.

-


15 MAY 2020 AT 14:44

Aliع ko khuda ka sher kehte hai,
Jo Aliع Aliع karre usse Aliع ka fakir kehte hai,
Aur mai kya kahu Aliع ki shan mai?
Aliع se muhabbat toh Nabi(SAW) bhi karte hai!

-


23 MAR 2020 AT 19:40

Mere se zyada aab meri shayriya bolti hai,
Andhero mai mujse meri tanhaya bolti hai!!!

-


19 MAR 2020 AT 19:42

Bhale manzil ek nahi tu safar ki toh shurwat kar,
Tere dil ka haal mere samne toh baya kar,
Rasta shuru kar,
Manzil ka intezar kar,
Khair khud ka na sahi mera kuch khayal kar!!

-


15 MAR 2020 AT 16:41

Us din ko yaad karke ruh hil jati hai,
Bhari mehfil mai bhi aakh nam ho jati hai,
Kitna khubsurat manzar tha,
Aaj bhi yaad karke muskurahath aa hi jati hai.

-


8 MAR 2020 AT 11:50

Meri tabiyat ka ilam aab usse kaha hoga,
Mai kaha hu ye aab usse thodi na pata hoga,
Mere wajud se anjaan woh,
Mere dua'o k saye mai kahi mehfus hi hoga.

-


6 MAR 2020 AT 20:16

Ruswah nahi mai aapne kismat se,
Khafa hu mai aapne halato se,
Gum_sum kahi khayalo mai,
Wafadar mai aapni tanhayyo se.

-


5 MAR 2020 AT 20:38

Tuta huwa aashik yaha mai hi nahi aur bhi hai,
Ishq zamane ko hi nahi mujhe bhi hai...!

-


Fetching Saniya Chiplunkar Quotes