Ek shakhs jaanta tha mujhko mujhse jada
Woh roya hoga bichad jaane pe mujhse jada,
Yeh sach hai kai aur bhi hai usske chahane wale
Yeh bhi toh sach hai koi chahega nhi usse mujhse jada.-
Bhoolne ko kr bethe yaad kisiko
Dil se lag gayi awaaz kisi ko,
Door rehekr chaahte hai woh mujhe
Bewaja rakha hai unhone pass kisi ko.-
Ghaaw naya magar dard purana hai
Dushman kyu mera yeh sara zamana hai,
Ab na milege yeh kehena hai aaj unse
milne ka unse yeh naya bahana hai.-
Woh shakhs mera khuda ban betha hai Lihaaz,
Zara sa dard kya uthe yaad mujhe woh aa jata hai.-
Tere kehne se kya ho jayega
Jo hona hai woh ho jayega
Dushman do pal teher k mujhse baat toh kare
Woh bhi mera Humdum ho jayega,
Dusro k liye ladne se mana kiya hai kisne mujhe
Kehta hai kahi tujhe kuch ho jayega,
Unhe kya pata khuda chahate nhi qurbat meri
Darte hai uhne bhi mujse ishq ho jayega.-
Khusiyo ki talash mai nikla tha ek shaks
Aaj uski talash mai sara zamana hai,
Puchne pe kehete hai sab koi gum nhi
Phir bhara kyu yeh sara maikhana hai,
Lab kehe bhi de yeh jhoot ki Yeh jaam khusi k naam hai
Magar aansowo ne toh sab sach kehe jana hai,
Zinda dil lehero ko cheer k jaayege
Murdo ne toh akhir lehero mai beje jana hai.
-
Khuda jaane yeh isqh kya rang layega
Woh milne ek bar mujhse jarur ayega,
Mere Janaze pe meri aankhein khuli rakhna dosto
Shayad uss din toh woh mujhse nazar milayega.
-
Kya hakeekat hai kya sapna hai samjh nhi ata
Kaun paraya hai kaun aapna hai samjh nhi ata,
Mai bhaag raha hoon kisi daud mai bachpan se fakat
Jeet raha hoon ya haar samjh nhi ata.-
Woh kya jaanege Marz mera jo na jaane hai dard mera,
Maut bhi jaane kyu na aaye
Yeh kitna bacha hai karz mera.-
Jaanbujhkar galtiyan karne Laga hoon main,
Saza humesha durso ki galtiyo ki mile yeh bhi theek nhi.-