Sandeep Grover   (SG)
1.1k Followers · 5 Following

read more
Joined 14 October 2017


read more
Joined 14 October 2017
1 NOV 2017 AT 21:34

Even after all the LOVE and CARE I shovel
Once again I'm left ALONE to grovel

Now I think....
This idea of love is no longer NOVEL

-


7 FEB 2021 AT 10:36

Ek baksa hai teri yaadon ka
Gawah pure kiye un sabhi wadon ka
Samet rakhi hain usme wo saari cheezen
Byaan deti jo meri puri hui muraadon ka

Band is bakse me ek teri wo awaaz hai
Jo saans leta hun main, unka wo aagaaz hai
Sun pata hun teri un khamoshiyon ko bhi main
Jo shayad khud tujhse bhi naraaz hain

Kholun ise to waqt bhi jaise ruk sa jata hai
Zindagi ki sachaai se dil kahin chuk sa jata hai
Yaadon me teri sukoon paya hai maine is kadar
Ki ek pal ko mera har dukh bhi jhuk sa jata hai

Hai ye saboot is rishte ki sari buniyaadon ka
Hai hisaab isme teri un sabhi fariyaadon ka
Bohot sambhaal ke rakha hai maine
Ek baksa teri yaadon ka....

-


5 APR 2020 AT 22:50

Sawaal uthe kuch zehen mein
ki icchha usse milne ki hui
Milta nahi har roz usse main
anjaan sa hi hai wo shakhs koi

Jawab saare hain uske paas
chahe pucho usse sawaal koi
Suna hai wo hai kaafi khaas
par baat uski karta kahan koi

Halaat chahe jaise bhi ho yahan
wo sab kuch pehle se jaanta hai
Use batane samjhane ki zarurat kahan
wo to khudko main hi maanta hai

Jawab diye usne meri har baat ke
ik pal ko lga ki main anirudh tha
Aakhir me pta chala mulakaat ke
ki wo shakhs to main hi khud tha....

-


13 FEB 2020 AT 1:11

Mujh par haq jatate the jo
wo waqt ne aise parkhe hain
Ki shikwe hue jitne bhi jo
wo maine khudse hi rakhe hain

Khushiyon ka hota mujhe ilm kaise
fanaa hua wo khwabon ka nagar tha
Bhula sa hi diya tha maine jaise
kehte jise ummeedon ka dagar tha

Muskurahat bhi chehre pe thi utri
nikla us din kuch aisa aftab tha
Chamak zindagi ki thi jisme bhari
mano samne baitha khud mehtaab tha

Mujhe saans lena bhi sikhaya
alag hi kuch uska pyaar tha
Jeene ka sapna bhi usne dikhaya
bana wo jo mera sacha yaar tha

Batein beshaq ho khatam jayein
par baat hoti usse har roj hai
Jis ghadi me usse mil payein
us waqt ki mujhe abhi bhi khoj hai

Har mod pe khade jo sath mere
ban gya wo aise mera parivaar hai
Adhura na ho jaun main bin uske
yahi is zindagi se ab darkaar hai

-


26 MAY 2019 AT 22:58

In this blankness of the darkness
And the room full of starkness

With the light in my life fully bright
Even sense of hope gives me fright
Coz shadow owes it's birth to the light!

-


23 MAY 2019 AT 17:46

चलो आज फिर से कुछ लिखते हैं
शायरों के बाज़ार में हम भी बिकते हैं

खोलकर देखें ज़िन्दगी की किताब को
तोलकर देखें क्या खोया क्या पाया के हिसाब को

अतीत के ख़ौफ आज काफी पीछे है
पर आज भी अपनी लाचारीयों के हम नीचे है

ना जाने कौनसी खुशी की तुझे तलाश है
सब हासिल करके भी तू क्यों निराश है

हर शाम सूरज के साथ जो हौसले ढलते हैं
झूठी उम्मीद के साथ ही सही, चलो कुछ दूर और चलते हैं

एक बार फिर अपनी कहानी किसी कागज़ पर भरते हैं
चलो आज फिर से कुछ नया लिखते हैं

-


8 APR 2019 AT 1:19

आज एक खौफ का एहसास हुआ
अपनी ही लाचारी का हिरास हुआ
आज इस इत्लाफ़ के आगोश में
पता चला कि मैं कितना ना-शिनास हुआ

-


25 MAR 2019 AT 21:24

Mujhe pasand nahi par fir bhi chai peeta hun
Har roz kuch ankahe se lamhe jee leta hun

Chai peeta hun doston ke sath mulakaton ke liye
Sunne unki tuki-betuki si baton ke liye

Chai peeta hun us tapri ki jahan chai bnate wo dada hai
Us cup me mithas cheeni ki kam, mehnat ki zyada hai

Chai peeta hun kisi raat ko der tak jaagne ke liye
Apne darr se dur apni kalam tak bhaagne ke liye

Mujhe chai itni pasand to nahi par fir bhi peeta hun
Har roz dusron ke sath ye zindagi thodi aur jeeta hun

-


3 DEC 2018 AT 20:22

Mujhe kuch to ehsas hai
Sab kuch to mere paas hai
Par fir bhi na jane kyun
Ho rha mera dil udaas hai

Kya hai jo andar se mujhe khaye ja rhi hai
Teri yaad hai kya jo mujhe staye ja rhi hai
Ya fir hain mere koi undekhe se khauf
Jo bar bar mujhe draye ja rhi hai

Nhi malum ki tujhse fir mil paunga ya nhi
Is darr se kbhi ubhar paunga ya nhi
Janna to bus ye chahta hun
Ki firse main khada ho paunga ya nhi

-


6 SEP 2018 AT 10:37

At times I wonder,
what hurts the most -
The opportunities you never got
or the ones you lost......

-


Fetching Sandeep Grover Quotes