Sandeep Arya   (Sandeep)
54 Followers · 53 Following

A lo hecho,pecho.
Joined 8 April 2019


A lo hecho,pecho.
Joined 8 April 2019
30 DEC 2021 AT 23:12

Aapke khayalon ke paimane se aajkal nasha krta hu,
Gar, yakin na ho to hamare takiye se zara puchh lijiye.

-


10 JAN 2020 AT 19:51

Doobti kishti dekh hamari, kuch hasi si chehre pe unki aayi thi;
Mann ko bada sukoon tha, aakhir doobna bhi hamara, kuch chehron pe muskaan layi thi...😊

-


4 JAN 2020 AT 16:55

Humne unko dekha khud ko humse chhupate hue,
Wo bhi kya manzar tha, jab dekha humne kisi aur ko, use ghumate hue...😂

-


9 NOV 2019 AT 19:22

Khamoshi...yu toh kuch kehti nahi,
Par ek dhun zarur bunti hai;
Ek dhun, jo shayad hawaon se hoke,
Tum tak pohoch jaati ho...
Ek dhun jo mujhko chhukar, shayad tumhe bhi chhu jaati ho,
Aur ek teri khamoshi hai, jo mere liye shor hai,
Mere dard ko hasi me badalne ka, halka sa zor hai,
Bas jaisa hu,mujhe waisa hi rehne ki izazat dedo,
Khudko badalkar zara sa, awaargi ko meri,ek baar hi sahi,par zamanat dedo...

-


8 NOV 2019 AT 19:38

Khud ke ummidon ka Hasoda, jo tum mujhe maante ho;
Gham ko khaq karke ye Musqaan paida karta hu...😢😢

-


2 NOV 2019 AT 14:10

Qqqqa

-


11 OCT 2019 AT 16:12

Hamari muhabbat ka kuch aisa fasana tha,ki Jise hame fasana tha ,use kisi aur ko fasana tha...😂😂😂

-


14 SEP 2019 AT 0:56

Teri aankhon mein manzar-e-khaaq hone ki tamanna hai,
Bas aaj, iss chaand tale,qayamat ki raat dekhne ki tamanna hai,
Gar ho jaoon fanaa bhi aaj,toh gham zara kam hoga,
Kyunki bas tumhare samne hi khud ko harta dekhne ki tamanna hai.

-


7 AUG 2019 AT 15:36

Muddaton baad ek shaam aayi thi,
Ek hawa ke jhoke ne tera naam bulaya tha,
Tumhe, bhulne to chala tha,
Par,dil ke kone mein tera naam kured aaya tha...😊

-


6 AUG 2019 AT 20:09

Taash ke patton mein
hamara aashiyan hota;
Jab tu Rani aur main Raja hota,
Gar, waqt ka taqaza hota,
To ae Mallika,main bhi Shehanshah,
na ki Masqara hota...😂😂

-


Fetching Sandeep Arya Quotes