Love love, hate hate
And never,
Do vice versa.-
Writing is my pastime, pleasure, and passion too,
And, in it, I would love a care... read more
Raaste chahe ho alag, manzil khaak hi hai,
Azaan to ho chuki, ab bas namaz baqi hai.-
Padhaaii, imtihaan aur natiije the pehle,
Ab zindagi hi zindagi ka sab se badaa darr hai.-
Manzil nahi hai koi, bas saath tu hai agar,
Manzil se bhi haseen hai, sang tere har safar.-
Ya Ilaahi!
Unke muaamlon par Aap nazar karde'n,
Maayusi pe unki ummiid-e-sahar karde'n.
Jo pahunchaye unko Aap tak Ya Rabb,
Sadaa usi raah par unki guzar karde'n.
Le jaye jo dagar manzilon tak unhe'n,
Aisi dagar pe aasaan unka safar karde'n.
Panaah mai jiske mai rahu'n mutma'in,
Unko aisa saaya-daar shajar karde'n.
Gar le aaye taqdeer Sana pe amaavas,
Shakir ko chaudhvin ka qamar karde'n.-
Found you going astray He guided,
And when you were broken He mended.
To your restless heart He gave peace,
To fulfill your du'as He brought you down on knees.
When Allah chose you over all others, O Insiyah!,
Why dont you choose Him, over this duniya?-
Hai raat, hawaa aur chaand iss pahar,
Khushnumaae bhi hai, kuch kami bhi hai magar,
Poora hota aarzoo-e-dil-e-naadaan,
Bas saath tu hota agar.-
Gunah mitane chandd aansoo kaafi hai,
Waqt-e-ruksat mai kuch pal hi baaqi hai.-