Kitna socha is dard-e-dil se kinara kar lenge;
Phir socha kaise khud ko besahara kar lenge...-
From uttarakhand
Wish me on16 aug🎂🎉
Electronics and communication engineer
"Bas ek... read more
Qareeb manzil k aa kar bhi, kyun dil ki bechaini badh rahi hai,
Ye kaisi tishnagi hai, ki beqarari musafir ki badh rahi hai.-
Ab mil bhi jaa na mujhko, ae manzil, meri,
Teri khatir to main, khud ko bhi peeche chod aayi hoon.-
Tum kaho to is duniya se main phir kinaara kar loon,
Tum kaho to ek tumko hi dil k aasmaan ka main sitaara kar loon.-
Mile bhi the hum kabhi,
Kabhi hum bichde bhi the,
Wo mausam-e-shokh bhi yahi tha,
'Sana',wo gam ki rut bhi yahi thi.-
Yun to ek lamhe ko bhi theherta ye waqt nahi hai,
Kyun phir ek arse se zindagi us ek lamhe par thami hai?-
Na tum saamne ho mere, na mere dil mein hi ho,
Socha na tha maine ki kabhi faasle aise bhi honge.
Na tanhaiyon mein ho meri tum, na meri mehfilon mein hi ho,
Socha na tha maine ki kabhi faasle aise bhi honge.
Na khayalon mein ho mere tum, na meri nazmon mein hi ho,
Socha na tha maine ki kabhi faasle aise bhi honge.
Na khwaabon mein ho mere tum,na sooni aankhon mein hi ho,
Socha na tha maine ki kabhi faasle aise bhi honge.
Na lakeeron mein ho meri tum, na meri duaon mein hi ho,
Socha na tha maine ki kabhi faasle aise bhi honge.
Na dhadkanon mein ho meri tum, na meri zindagi mein hi ho,
Socha na tha maine ki kabhi faasle aise bhi honge.
-
Har din khud ko behtar bana rahi hoon,
Ae manzil main khud ko tere qabil bana rahi hoon.-
In andheri raaton se hi to, ujaale seher k kamaal hote hai,
In mushqilon se hi to 'sana', taveel raastein aasaan hote hai.-