Jahilon wali bat ko woh log kam ka kehte hain...
Oron aurton ke sath rishta ahtraam ka kehte hain...
Instagram call pe kisi or ki, biwi k sath sote hain...
Or khud ko woh prabhu shree Ram ka kehte hain...
-
Meri mohabbat ko kisi or k nam kar rahe hain
Sab jante hue bhi esa ganda kam kar rahe hain
Mohabbat mein mohabbat ki unhone rivayat hi badal di
Badle khud.. or mujhe badnam kar rahe hain-
Ab dekh meri taraf kabhi mein hi
kinara tha tumara....
Kuch samay k liye hi sahi
lekin waqt guzara tha tumara...
Tum jiski judai mein
rokar mujhse mile the
Bichde to wahi saksh
dubara tha tumara....-
Tere ungli pakadne se
Unglion ke nishano tak...
Tere rakhe kabootar
Kabootar ke danon tak...
Chachu... sab yaad aata hai mujhe😔...
Wo tera gussa karna
Or gusse mein darane tak...
Phir khane ki koi cheez dekar
Bachon ki tarah manane tak
Chachu... sab yaad aata hai mujhe😔...
Wo daaru woh sharab
Wo sharab ke maikhane tak
Wo tera nashe mein dhut rehna
Or marne ke iss bahane tak
Chachu... sab yaad aata hai mujhe...😔
-
Main raha jo nahi hisse mein tere...
Koi or aa gaya h kya qisse mein tere...-
Uska mera rishta to sadion purane dour ka hai.....
Aaj ki haqiqat esi h m kisi or ka hoon woh kisi orr ka hai...-
Aik khaas fann or adakari ka nam hai...
Ye samjhdaron se bhi aage samjhdari ka kam hai
Chote ghar ka sab se bada beta hona
Mushkil tareen zimmedari ka kam hai-
Iss dafa nhi.. har dafa ho jata hu...
Chand dino bad khud se khafa ho jata hu..
Ye sach h.. ise log b mante hn..
M dost buht acha..
Pyar m bewafa ho jata hu-
M ye kabhi nhi kehta
k adhura ho jaye....
Par wo ishq hi kya
Jo pura ho jaye..-
Jhutha sa chehra or dunia m
khuwar ho gye hn...
Bache the to sache the
Ab to hum samjhdar ho gye hn...-