Sam Mohanty   (Sourav)
19 Followers · 26 Following

read more
Joined 3 March 2019


read more
Joined 3 March 2019
13 JAN 2020 AT 18:04

Things wont go as planned and future would remain unclear
Little did I know
Taking risks doesn't mean abandoning fear
Little did I know
Heart will have so complicated feelings
Little did I know
Bewildered face would get stuck on the ceiling
Little did I know
Life would be so hard to decipher.


-


27 OCT 2019 AT 20:52

Pyaar se keh dete hain ek baar
Ki aapse ,han aapse
Karte hain beshumar pyaar
Kehne ki koshish kiye the hazaron baar
Par darr ne nahi karne diya hame izhaar
Nahi bolenge ,aapke inkaar
Se denge khud ko maar
Aapse ishq kiya hai bas jatana tha
Aapse mohabbat hui hai yeh batana tha
Haath kanp rahi hai yeh likhte likhte
Isiliye zyada likhenge nahi
Agar prem karti hain hamse
Toh hame samajhne ke liye
Aapko koi lafzon ki zarurat nahin

-


22 OCT 2019 AT 20:52

Kuch toh khaas tha
Woh shaam ka pal
Jab zameen aasmaan
Ek dusre ko nihar rahe the
Sooraj apne manzil pahunchkar khush tha
Bageechon ki phulon ka madhur sugandh tha
Sukoon sa lag raha tha woh sama
Aur lag raha tha
Jaise mere jazbaaton ko alfaaz mil gaya tha

-


19 MAY 2019 AT 18:57

Isse pehle ki ,
Aap hame apne nazron se parkhein
Thoda Jaan lijiyega hamara nazariya
Toap honge ham,
Par Aapko nikamma dikhenge
Bekar mein dhindora pitenge pura bajariya

-


11 MAY 2019 AT 9:14

Dil mein utar gayi hai raat
Sunhare khwabon ke saath
Ho rahi hai jazbaaton ki barsaat
Bas mann hai tumse ek mulaqaat

-


28 APR 2019 AT 16:21

Nahi likh sake
Un palon mein aaye jazbaton ko
Shabdon ki kami tha kaaran
Nahi jata paye
Ubharte huye khayalon ko

-


23 APR 2019 AT 8:16

With a blurred vision of the road and the
life
Mind seems to be in a rush
For practicing the same routine again and again
But the fog takes it to a poets world
Where it stops and suddenly starts exploring
The evergreen relationship between nature and man
And the beautiful scenery ahead
Man thinks of the wonderful artistic skills of God
But then the roads get filled by cars
And the horn sounds with a traffic jam
Which teleports the mind back to the busy world

-


14 APR 2019 AT 21:57

Zulm sehte hu kyun
Burai ko mauka dete ho kyun
Apne andar ke baaghi ko jagao
Uss insan ko apna rudra roop dikhao
Bahar niklo iss gehre dard se
Apni zindagi kisi ke hawale na karo
Ek nayi mod do us bejaan zindagi ko
Aur anek mod us raste mein laate raho
Har mod pe ek kathinai aayegi
Usko seekh mankar sweekar karo
Zindagi jeena yeh tum pe hai
Tum pe ho rahe atyachar
Ko mitana ab tumhare himmat mein hai

-


13 APR 2019 AT 13:45

Shaam ki udaasi
Mukh par chha jati hai
Jab woh pyara din
Apna aakhri salaam de jati hai
Ek ummeed bas rehti hai
Ki kal ka din bhi accha jaye
Zindagi kal apni pariksha na lein
Aur Koi hamara din bigad na paye
Ab Shaam dhalne ko aaya hai
Sapnon mein jeene ka waqt aaya hai

-


10 APR 2019 AT 20:46

Raat ki chaukhat par
Bikhri padi hai nigahein
Uss ruthe neend ke intezaar mein
Baitha hoon sang kudrat aur hawayein

-


Fetching Sam Mohanty Quotes