Ye sheher ab khamosh nahi,
Teri moujudgi bohot shor karti hai!-
Instagram :- kalamkaaj... read more
Waqt se kuch waqt ki mohalat mangna chahta hun,
Sun,
Mai tere sath kuch jyada der rehna chahta hun!-
Waqt se kuch waqt ki mohalat mangna chahta hun,
Sun,
Mai tere sath kuch jyada waqt guzarna chahta hun!-
Humne jannat-e-noor uske aane se hi aazma liya,
Ab marne ka intezaar kisko hai?!!-
Khuda kare,
Tumhari khushi se unhe takleef na ho,
aur,
Unki takleef se tumhe khushi na ho!-
Bhagwaan par itna bharosa toh nahi hai mujhe,
Par 3-4 duaaein mangi hai jo,
Aye dost,
Unme jikr tera har baar kiya hai !!!-
Pareshaniyan kuch pareshan si thi kal baat karte waqt,
Unhe bataya hai, "Mai sambhal lunga! "-
Muskura to leta hai voh yun har ek ke sath,
Khaas banoge jab tumhari uske ashqon se mulakaat karvayega voh!-
Iss sasti duniya ke bas ka nahi,
Aye dost,
Tera dil mehenga bohot hai!-
Kuch ashqe yun tere naam ki hai,
Haan,maine ye raatein rokar,
Par subah,shuru muskurakar ki hai!-