sakshi more   (SM.)
68 Followers · 19 Following

For me, writing=expressing my emotions
Joined 20 August 2017


For me, writing=expressing my emotions
Joined 20 August 2017
15 JUL AT 20:30

Tum ho toh har subah mein roshni thodi zyada hain,
Tum ho toh raat ke sapne thode ache zyada hain,
Tum ho toh thodi si bachhi bann jaati hun mai, kyunki pata hain tum sambhal loge mujhe,
Tum ho toh apni fikr thodi kam hi karti hun mai, kyunki pata mere hisse ka bhi tum hi soch loge mere liye,
Tum ho toh darr nahi lagta hain, kyunki tumhara saath hain,
Tum ho toh har ek pal apna lagta hain,
Tum ho toh lagta hain maano iss nadaan dil ko koi apna mil gaya hain,
Tum ho toh lagta hain mujhe sab kuch mil gaya,
Bas yun hi saath rahe hum,
Gussa bhi ho toh mana le hum,
Dukh ko zyada der na paas rehne de hum,
Yun hi khushiyon ke saath, ek dusre ke saath aage badhte rahe hum….

-


19 JUN AT 10:14

Acha lagta hain,
Unn logo ke liye kuch bhi karna jo dil ke qareeb ho,
Acha lagta hain,
Unse roz baatein karna jo dil ke qareeb ho,
Acha lagta hain,
Unki saath har ek pal guzarna jo dil ke qareeb ho,
Unki ek muskaan maano din bana deti hain,
Unki udaasi humein bhi udaas kar jaati hain,
Unhe khush dekh maano jaise hum bhi khush ho jaate hain,
Bas unke ek muskhurahat ke liye kuch bhi kar jaate hain….

-


18 JUN AT 11:29

Kaun hain kiske saath, kya jaane hum insaan,
Kaun hain kiske saath, ye toh jaane bas woh bhagwaan,
Mukhauta pehn ke aate hain woh humare zindagi mein,
Mukhauta ke peeche ka chehra, kya jaane hum insaan,
Mukhauta ke peeche kya chupa hain, ye toh bas jaane woh bhagwaan,
Dil mein chupa lete hain log dard kahi, mann mein chupa lete hain log dukh kahi,
Kiske dil mein kya hain, kya kaane hum insaan,
Humare dil ka haal kya hain, ye toh bas jaane woh bhagwaan,
Bhagwaan ke bharose chod diya hain apne har kadam ka hisaab,
Ek woh hi jaane kya hoga humara, mai kya jaanu mai toh bas hun ek insaan….

-


12 JUN AT 20:28

Woh jazbaat hi kya jo alfaaz bann ke labon pe dastak na de,
Woh ishq hi kya jo zahir kiye bina adhuri reh jaaye,
Woh dil hi kya jo kisi ke liye dhadke bina shant ho jaaye,
Woh saans hi kya jo kisi ke ruh ko mehsoos na kar paaye,
Woh aankhein hi kya jo apne pyaar ko ek dafa dekh bhi na paaye,
Ishq mukkamal ho ya na ho, mann ko khol ke rakh dena tum unke saamne jo hain tumhare dil ke kareeb….

-


6 JUN AT 12:16

Do pal khud ke liye jee kar toh dekho,
Iss bhaag daud wali zindagi phir se do pal ek bachhe ke tarah jee kar toh dekho,
Do pal khud ke liye jee kar toh dekho,
Itna bhi kya kaam karna ki khud hi khud ko bhul jao,
Itna bhi kya ladna ki waqt milne pe ghar na laut pao,
Do pal khud ke liye jee kar toh dekho,
Maana zindagi ki race abhi lambi hain,
Jeetne ka junoon thoda zyada hain,
Magar do pal teher ke toh dekho,
Do pal khud ke liye jee kar toh dekho….

-


14 MAY AT 23:24

Kyun chod dete hain hum apne apno ko akele,
Kahi woh bacha waha akele rona aur chup hona seekh raha hain,
Kahi woh budhe maa baap waha dalti umar mein khud ko sahara de rahe hain,
Kahi maa baap ne apne bachon ko sambhalna nahi seekha hain,
Kahi bachon ke liye apne maa baad ki zimmedariyon ka bhoj badha hain,
Kahi woh bacha akela hain,
Kahi woh maa baap akele hain,
Kahi woh anathalaya mein maa baap ke lautne ki aas hain,
Kahi woh vridhashram mein bachon ke pyaar ke lautne ki aas hain,
Kyun chode dete hain hum apne hi apno ko akela,
Rishtein chod dena kya itna aasaan hain aaj kahi….

-


26 APR AT 16:51

Koi khud se lad raha hain,
Koi waqt se lad raha hain,
Yaha lad raha hain har koi,
Koi kuch paane ke liye lad raha hain,
Koi kuch khone ke liye lad raha hain,
Yaha lad raha hain har koi,
Koi kisike liye lad raha hain,
Koi kisi se lad raha hain,
Koi kisiko paane ke liye lad raha hain,
Koi kisi se durr jaane ke liye lad raha hain,
Yaha lad raha hain har koi,
Yaha jeet raha hain koi, haar raha hain koi,
Magar himmat thodi si rakh raha hain har koi….

-


23 APR AT 23:21

Shayad ek beti bann na muskhil hain,
Shayad ek beti bann ke sabka dukh, dard, taqleef samajhna muskhil hain,
Shayad ek beti bann ke sabke khushiyon ka khayal rakhna muskhil hain,
Shayad ek beti bann ke sabke liye sochna muskhil hain,
Shayad ek beti bann ke waqt aane pe apna woh aangaan humesha ke liye chodna muskhil hain,
Shayad ek beti hona muskhil hain,
Magar ek badhe bhai ki choti behn hona bahut saral hain…..

-


19 APR AT 22:40

Haan, perfect toh nahi hun mai,
Haan, best toh nahi hun mai,
Par jaisi hun khud se hun,
Par jaisi hun apne galtiyon se seekhi hun,
Par jaisi hun apni zindagi se banni hun,
Par jaisi hun apne aap se hun….

-


19 APR AT 2:05

Waqt thaharta nahi,
Uss parinde ko apni udaan tez karni hoti hain,
Waqt badalta nahi,
Uss parinde ko apna rukh badalna hota hain,
Waqt deta dusra mauka deta nahi,
Uss parinde ko phir se udne ki khoshish karni hoti hain,
Waqt de dega saath,
Uss parinde ko dena hoga khud ka saath, rakhna hoga khud pe vishwas, manzil paane ki chah ho jayegi poori kahi….

-


Fetching sakshi more Quotes