Mai aur meri sad life,
Aksar sham ko chat par,
Chakkar mara karte hai....
Jab badlo ki ahant hoti hai
Jab panchi jhund me chekne nikalte hai
Jab suraj ka bas rang hi shitij par reh jata hai
Jab hawae meharban ho jati hai
Jab ye asman alag alag shades me nazar ata hai
Tab...
Mai aur meri sad life,
Aksar sham ko chat par
chakkar mara karte hai......
Jab daftar samet kar laptop band ho jata hai
Jab bijli bebaat gul ho jati hai
Jab hath me chai ka cup nhi glass hota hai
Jab Spotify pe slow songs playlist lga hota hai
Jab swiggi delivery delay ho jati hai
Tab....
Mai aur meri sad life,
Aksar sham ko chat par
chakkar mara karte hai......
-
Ek pita ne apni zindagi lga di beti ko khada karne me,
Aur log us se uske jee-jaan ki kimat puchte hai.....-
Dhundh rahe hai kuch
anjane se kal me,
Nanhe hatho se tatolte,
Sapno ki masumiyat nhi jati.......-
Chiraag ko puchega kaun bhari dupahri me,
Har ek ka waqt hai, aate aate ayega....
Vo suraj kitna hi bda kyu na ho,
sham hote to dhal jaega......-
Ek katra apna bhi seva me teri chadhaenge
Aae maati teri ladai me kirdar hum bhi nibhaenge
Lohe ki ye jo patriya, jode tera har bhag hai,
Tere bachchon tak aaj yhi to pahucha rahi anaj hai
Jarurt ka har saman jarurtmand tak hum pahuchaenge
Kartavy apna to hum puri nistha se nibhaenge
Tumhe farz nibhana hai apna reh kar chaton ke ander apni,
Hum farz apna dekhna, kadi dhup me bhi nibhaenge
Chalti gadi ke khali dibbe jo yatriyo ke kaam aye the,
Aaj ghadi me vipda ki asptaal bhi inhe bnaenge
Koi na soye bhuka sadko par dhyan ye bhi rakhenge hum
Har hath roti pahuchane ki hum zimmedari uthaenge
Muskurakar rehna tu befikr parivar sang apne,
Suraksha to teri hum raah apne gharo ki bhi bhulaenge
Jaan par khel kar apni jo, bacha rahe hai dusro ko,
Suraksha ka har saman, suraksha karne walo tak le jaenge
Kisi khatre ka ab dar nhi
Ye dharm mera hai karm yhi
Desh ki is seva me hum
Bhagidari apni nibhaenge
Desh ko jodti ye dor railseva ki
Saso ki dor ko bhi mazboot banaegi
Ekjut ho jaenge jab hum bhartiya sabhi, maut ko bhi haraenge
Phir daudenge pahiye patriyo par,
Phir apne apno se mil paenge
Phir apne apno se mil paenge.......-