Humse mohabbat karne wale rote hi rah jaaynge
Hum jo kisi din soye to phir sote hi rah jaaynge-
Is qadar maine sulagte hue ghar dekhe hain
Ab to chubhne lage ankho'n mein ujale mujhko-
Rone walo'n se kaho unka bhi rona ro lein
Jinko majboori-e-halaat ne rone na diya-
Bas ik jhijhak hai yahi haal-e-dil sunaane mein
Ki tera zikr bhi aayga is fasaane mein-
Ashique ki bhi hasti hai duniya mein ajab hasti
Zinda hai to rusva hai mar jaay to afsaana-
Girte hain samundar mein bade shauq se dariya
Lekin kisi dariya mein samundar nahin girta-
Hain pichhattar saal hone ko abhi ham unhein kyun achhe nahiagte.
Mohabbat huwa karti thi pahle jo wo ab hamse nahi karte.
Kyun unki aankhein hamare hatho Mein hara hi talashti hain.
Hatho Mein hamare tirange kyun unhein achhe nahi lagte.
-
Haya ke parde ankho'n se hatana bhi to padta hai
Agar hai pyar dil mein to jatana bhi to padta hai
Isharo'n hi isharo'n mein yu'n kabtak baat rakkhoge
Jo tera hal hai usko batana bhi to padta hai
Fakat bas likhke rakhne se ye ekdin kho hi jaaynge
Hain jo bhi khat likhe unko bhijana bhi to padta hai
Naya gar naam likhna hai to ye bhi soch lo tum phir
Purane naam jitne hain mitana bhi to padta hai
Kisi ki yaad lekar ke kisi ke paas mat jana
Kisi ko pana hai to kuchh bhulana bhi to padta hai
Subah aur shaam seene se dhuaa'n nikle ghalat hai ye
Lagi jo aag seene mein bujhana bhi to padta hai
Na do tum dawatein shaklo ko khud yu'n aaiyina bankar
Koi patthar mila jis din bikhar jaana bhi padta hai-
Kisi ki yaad lekar ke kisi ke paas mat jana
Kisi ko pana hai to kuchh bhulana bhi to padta hai
-