Gham ko tho humne kab ka peeliya
Beetein hue waqt ko jo humne bhula diya
Ye daur naya aya hai zindagi mein
Purane raastein chod naye daastan ko humne apna liya-
Yahi Tera Aaj Hai
Aur Issi Mein Sara Swaad Hai
Woh Bhi Tere Honge
Filhaal Hai Woh Kisi Aur Ke-
Dil tootthe hai log aage badd jaate hai
Zindagi sawar jati hai ye sochkar so jaate hai
Hum buri aadat poste hai
Ye kehkar humko koste hai
Hume doosre darje ka bolte hai
Aur khud ko mahano se tolte hai
Hume manhoos kehte hai
Par khud khush rehne ko taraste hai-
Harr shayari mohabbat ke baare me nahi hoti
Harr shayari toote hue dil ke baare me nahi hoti
Kuch makaam hote hai
jinhe paane ke liye khud ko khote hai
Phir khud ko waapas paane ke liye
hum shayari likhte hai-
Aaj phirse tera sapna aya hai
Tera chehra phirse dil pe chhaya hai
Par ye sapna suhana tha
Tujhe apna kissa jo sunana tha
Sunate sunate tera chehra dhundhla ho gaya
Raat kat gayi aur savera ho gaya
Aaj phirse tera sapna aya hai
Tera chehra phirse dil pe chhaya hai-
Life would be like a bright light with a dot of darkness
That's what people said
It's become a dot of light in the shroud of darkness
Is what I said
Then there came a time
When life was a juice of lime
Where even a pinch of salt made the difference
Where even a dot of light made the difference-
Staring at the ceiling in the dark
Same old empty feeling in your heart-
Raat ko sapne nahi aate
kyunki hum so nahi paate
Din me sapne poore nahi hote
kyunki hum kuch kar nahi paate-
Bohot si qwahishe adhuri hai
Kyunki do dilon ke beech doori hai
Hamare baato mein hosh nahi hai
Kyunki hamare dilon me josh nahi hai
-
Aaj ayi hai raat phir se
Le chalne sabko apne khwabon mei
Par afsos iss raat ko hamara pata na mila
Aur hum bina neendh ke hi reh gaye-