Ek chahat wo bhi hoti hai jaha milna to shayad phir kabhi na ho,
Bas yaadein or duaye reh jaye ...-
Ishq ho toh jataya karo,
Ishq hai toh bataya karo,
Kya pata fir na woh samay ho or na hi woh log...-
Kuch ajeeb rishta hai hamara bhi,
Na bhul sakte hai na bhula sakte hai,
Bus khamoshiyan bayan kar sakte hai...-
Aisa nahi hai ki ab hum bolna nahi chahte,
Per jinse bolna hai woh humme sunna nahi chahte....-
Apno ne hi itna tanha kar diya ki ab khamoshi mein hi sukun mil gaya...
-
Ab lagta hai shikayat se aachi hai khamoshi,
Jab fark na pade toh fir shikayat kaisi....-
Woh purani kahani yaad aa rahi hai,
Jisse bhulna chaha aaj uski yaad fir sata rahi hai......-
Saal ka woh din bhi guzar gaya,
Jis din umeed hoti hai sab yaad karenge,
Per fir ek baar naumeed hi kar gaya,
Saal ka woh ek din bhi...-
Phir na himmat hui sawalon ki,
Jab yaadon ke liye hum hi galat thehra diya....-
Yeh bhi toh khasiyat hai ki hum kisi ke khaas nahi,
Hum jinke pass the aaj unke bhi pass nahi....-