Kalam me syahi bharne chale the
Sheeshe me sharab bhar gaya
Panno pe kuch alfaaz likhne chale the
Seene me jazbaat toofan kar gaya-
Everything good and everything bad;
Here I em... read more
Kahe to duniya ibaadat hai kuch
Hone ko hai to mohabbat hai kuch
Waqt ke naam pe sadiyaan beet gayein
Tere intezar me bitaya waqt hai nahi kuch-
Ab jo milne aao
Thodi fursat se hi aana
Kuch waqt lete aana
Kuch jazbaat lete aana
Kuch adhura reh gaya tha jo
Use pura karne aana-
Tere jane k baad jo me reh jaunga
Wo mujhse to nahi sambhalta
Isliye pathar kar liya hai dil ko apne
Ab kahein nahi pighalta-
Kabhi fursat mile to
Idhar apni nazrein inayat kariyega
Wo kehte hein ki
Chand zameen par utar aya hai-
Teri galiyon me ab mera guzara nahi,
Haal hai dil ka jo bhi, ye ab kisiko batana nahi.
Hasrat hai bas us roz-e-hashr ki,
Jab tu kahe ki "main hun", aur me kahun-
"ji, pehchana nahi".-
Ek pal me sadiyon ki maza humse puchiye
Duje pal se zindagi ki saza humse puchiye
Bhoolein hein unhe rafta rafta muddaton me hum
Kishton me khudkhushi ki saza humse puchiye-
Mein tod leta agar tu gulab hoti
Mein ched deta jo tu rubab hoti
Sab jante hein mein nasha nahi karta
Mein bhi peeleta agar tu sharab hoti-
Aaina kya dega tumhe,
tumhari sakshiyat ki khabar.
Kabhi meri akhon se dekho-
kitne lajawab lagte ho.-
Humse pucho k mohabbat me khasara kya hai,
Jaan lekar bhi koi puche k hara kya hai.
Ek umar kati jinki wafadari me,
Wo kehte hein- tum to pagal ho, tumhara kya hai.-