Sahil Shaikh   (Sahil)
34 Followers · 13 Following

read more
Joined 30 November 2017


read more
Joined 30 November 2017
15 APR 2020 AT 18:11

खबरें खबर बनने से पहले बिक जाती है,
जिसकी कीमत जितनी, वो उतना मशहूर हो जाती है,
झूठ तो जैसे अब किरानों के दुकान में मिलते हैं,
यहां इंसान ही नहीं जनाब, ईमान भी बिकते हैं।

-


14 JUN 2019 AT 11:25

बारिश की इन बूंदों ने फिर से वो यादें ताजा कर दी,
अनजाने ही सही पर इस दिल में उम्मीद सी भर दी ।।

-


1 MAY 2019 AT 10:50

Ha mai majdoor hun, majboor nahin
kehta hun ye sabse, mujhe isse sharm nahin
jab sisakti dhup me gire qatra mere pasine ka,
tab thos mitti bhi mehnat dekh narm pad jaye,
jo lagau hath mai mitti ko to wo sona ban jaye,
ji ha mai majdoor hun, majboor nahin,
kehta hun ye sabse, is baat ka mujhe sharm nai.
koi bhi ho mausam - garmi, sardi, ya baarish
roj ye apni mehnat ki khaye,
gar uthale hatho me inth to kisi ke sapno ka ghar ban jaye,
bahau pasina kheto me to sab ke gharo ka chulha jal jaye,
ji han mai ek majdoor hu majboor nahin
aur shaan se kahu sabse, isse mjhe sharm nahin
chahe wo ho unchi imarate, bridge ya raaste,
sare hain desh ki vikas ke waaste,
aur jo is vikas ke khwaab ko rubaru karaye,
ji han ji han wahi majdoor kehlaye,
fir se wahi kahunga....
Ha mai ek majdoor hu, majboor nahin
mai so jata hu kabhi bhuka lekin mai gareeb nai,
aur shaan se kehta hu ye, mjhe is baat jara sa bhi ghamand nahin....

-


23 APR 2019 AT 16:17


22 APR 2019 AT 12:49

Mera Hindustan

Aj asmaano par fir se kala badal sa chaya hai,
na jane insaano ke mohalle me kaun sa haiwaan aya hai.....

Nafratein faialna hai ek inka kaam yahi,
koi bhi jati ho ya dharm inki pehchan nahin...

Aj fir bastiyon me matam ka mausam chaya hai,
na jane kisine fir dil me kuch khanjar sa chubhaya hai..

Kitne aj yateem hue, kitno ki khusiyan khoyi hongi,
na jane kitni maaon ke dil ke tukde hue aur kitni biwiyan bewa hui hongi......
Ab bardasht nahin hota araam chahta hu,
laazim ho sab par aisa koi qayam chahta hu,
ab to bas mai is haiwaniyat pe insaaf chahta hu....

kahin dur Sarhad par wo khada hai akela dat kar,
tab ja kar so pata hai hindustan aankhein ye moondkar,
mit te hue in layino ki basti dekh kar sukoon chahta hu,
ab to tahe dil se un faujiyon ko karna mai salaam chahta hu,
mile ab is haiwaniyat ke khilaf insaaf chahta hu...

Ho mehkte gul yahan aur hare bhare khet aur khaliyan chata hu,
har galiyan abaad rahe aur gharo me khusiyaan chahta hu,
mai fir se wahi sone ki chidiya kehlane wala mera hindustan chahta hu...

-


16 APR 2019 AT 23:27

Tu......!!

Meri ye bebak ankhein dundhti hai tujhko,
Is baat se bekhabar ki mai yaad bhi hu tujhko !

Socha tha tu hum-asr hai meri,
Ankhein ye khuli to pata chala tu taabir thi meri !

Teri us nawazish ka lehza hi alag tha,
Ba-dastoor inayat thi tu meri !

Teri har ek harf me sukoon tha,
Har nafas ki paasbaan thi tu meri !

Teri uns me nazakat thi ya moutjza,
Is siyahi me bhi seher thi tu meri !!

-


25 MAR 2019 AT 23:16

us raat neend badi sukoon ki ayi,
kuki khwabo me tu jo thi ayi.

aj bhi peecha karti hain wo yaadein,
jaise sisakti dhup me meri parchayi.
us lamhe ko lafzon me kaise utaru
khud alfaaz mere thi sharmayi.

Haye us raat neend badi sukoon ki ayi,
jab khwabo me tu thi ayi.

charcha ye aam ho gayi thi seher me,
pyar ki suhaani badal hai chayi.
na thi wo baat us baraste badal me,
pyar to tha par afsos tu khud na aayi.

us raat neend badi sukoon ki ayi,
jab khwabo me tu thi ayi.

aahiste se mere haatho ko tham liya tune
fir aakr mere karib thodi si tu sharmayi,
halke se mere kaano me akar kaha tune,
ki tu mjhse dur na reh payi.

haye us raat neend badi sukoon ki ayi,
jab khwabo me tu jo thi ayi.

halki si awaaz ayi kahi door se,
aur ankhein meri thi khul ayi.
tab pata chala tu hakiqat nai soch thi meri,
fir ankhein ye bhar ayi.

fir kabhi wo sukoon ki neend na ayi,
kuki tu khwabo me bhi na ayi.


-


18 MAR 2019 AT 16:58

Kahani Meri !!!

Kis-Kis ko sunau ab mai kahani meri,
Jise sunna tha wo sunkar bhul gayi, samjhkar nadaani meri.
Jaisa tab tha aj bhi waise dhadakta hai dil,
Ab lautna asaan nahi kyuki ab yahi hai jindagani meri.

Kis-Kis ko sunau ab mai kahani meri,

Aj bhi sochkar mushkura uth ta hu wo baatein purani meri.
Na jane kab bujhegi ye talab-e-roohani meri,

Kis-Kis ko sunau ab mai kahani meri.

Gar hai mushkil to yahi sahi,
Is shahrah me chalne ki hai thani meri.

Kis-Kis ko sunau ab mai kahani meri.

Hayat hi ab juda karegi tujhe mujhse,
Bas isi ko samjh lena kahani meri, jo ab hai kehdi maine jubani meri.

-


15 JAN 2019 AT 21:07

Aj bhi mushkura uthta hu,
jab un palo ki yaad ati hai.......

Is bheed me khud ko tanha pata hu,
aankhein bhar ati hai......

Kash aise na dur jati mjhse tu,
dabi sehmi dil se koi awaaz ati hai....

-


10 NOV 2018 AT 16:19

koi jo tujhse dur hua use, kudrat ki aazmayish samajhna......
Aye humraah mere jindagi me kabhi dar ki gunjaayish na rakhna....

-


Fetching Sahil Shaikh Quotes