Khushiyaan sabr ka imtihaan ban gayi, Majburiyaan pyaar meh ilzaam ban gayi, Voh aaye aur aakar chale gaye, Khushiyaan chand lamhon ki mehmaan ban gayi..
Har hoton par jhalakti khushi sacchi nahi hoti, Har dil meh basti muhabbath be-inteha nahi hoti, Agar pyaar hota unko mujhse toh, mujhe dard dekar unki rooh yun khamosh nahi hoti.
Har dard ko apne andar chipaya hai, Hun mai theek aisa har kisi ko bataya hai, Dil meh bojh lekar, khush hun aisa sab ko jataya hai, Kaise bayaan karun Hakeekath? Ke mujhe mere apno ne rulaya hai..