Mera mahino k ashiqui se wasta nahi,
Maie zindagi k intezaar me hun..
Mujhe galiyon pe ghumne ka matt kaho,
Maie beintehaa ishq k saher se hun..-
Sahero se jyada, badalo ko pahechanti hun
Haqikatt se jyada, khwabo ko mantti hun;
Pagal si hun, in normal logon ki duniya me
Khud ke alawa sab ko jantti hun...-
Wo barish phir nahi lauti,
Wo subha phir nahi dikhi
Hum' maie aur tum bankar,
iss duniya me khogaye.
Kal k intezar me!
Tum mere kal bangaye..-
Itt ne din hai zindagi ke
Ek lamha toh do jis me
Khud ko tumhara kahe sakun
-
Kyese kuch raston pe,sirf chal kar hi
manjil mil jati hai.
Kyese anjan rahon par v
kahani ban jati hai.
Mushafir kare bhi toh kya'
zindagi begano me bhi
humsafar dikhla jati hai.
Jo kabhi sukun me bhi nahi milti;
In nazaron ko, dekh ne bhar se hi
wo khusi miljati hai.
Pata nahi kyese
kuch raston pe, sirf chal kar hi
manjil mil jati hai.
-
Kya itni galat hun?
K sahi kuch nahi.
Kya inti buri hun?
K saath koi nahi.
Ayesa v kya mang liya
Jo wo de na sake
Meri bari me toh
Sab hisab se liya tha...-
Hum milengye
Jane anjane milte rahenge.
Kabhi maie badalon se tumhara puchun
Toh tum taron ko mera bata na;
Maie samndar kinare byethun
Toh tum v tashwirein niharna;
Maie v jaldi sojaya karungi
Tum v mitha jyada matt khana.
Yun toh dur dur hi rahena
Par jab dhadkanein tez ho jaye
Toh bass piche mudjana..
ā % &-
Ye meri tangayi, bebasi, halatt, zindagi;
Sab milkar mujhe tumse dur karna cahate hai.
Ye cahatt hai nahi meri par,
Harbar, bar bar majjbur karte rahe te hai.
-
Maie ne niwale akele khaye hai,
Meri ratein bina chatt k beeti hai;
Maie ne iss duiya ki duniyadari
bade karib se dekhi hai..-
Tum meri wo ek khwahis ho
Jo maie kar nahi sakti;
Wo ek dua ho,
Jo mang nahi sakti.
Tumhare bina sirf din guzar te hai,
Aur ye koi, zindagi' ho nahi sakti.-