Uljhe khwabo ke sheher mai koi dastakhat si de gya,
Nayab hi tabeer mai koi shamil ho gya,
Taaro ki is bheed mai ek Chand bhi mil gya,
Nigahein hazar ho ek Chand pr ,pr wo uski Chandni se hi mashhoor ho gya.-
Ehtram rakha hmne apne waado ka,
Badi purkhulusi se khyaal rkha zubaan se kahi apni baato ka,
Daga ka ilzaam fr bhi lagaya gya,
Najane wo kaisa waqt tha badi toheen se hmse peshaya gya.-
Kyu itna nirash h zindagi se,
Kyu itna door h tu khud se,
Kyu ass lagata h kisi or se,
Kyu gum bant ta h gairo se,
Khud ko khud mai baki rakha nhi,
Zindagi ko sawarne mai laga h abhi bhi,
Jo tere pass h usme jile tu,
Ae khuda k bande rab se lau lagale tu,
Kisi or ki kya zarurat khuda ko dost banale tu,
Kuch waqt nikal or gum baantle tu,
Wo sunega teri baat or kisi se na kahega,
Teri baat tujhme or uske darmiya rakhle tu,
Nhi zarurat kisi sahare ki bs uska naam dil se lele tu,
Jo h dil mai barso se bhara tere sirf uske samne rode tu,
Ae khuda k bande rab se lau lagale tu,
Kyu kisi ki zarurat tujhe,khuda ko apna dost banale tu.-
हम बेज़ार थे ,अब गुलज़ार हो गए,
तुम्हारी नशीली आंखों के जाम के,
हम शिकार हो गए।-
Munafiqat k is daur mai,
Muqaddas ki talash mai ho...
Tahaffuz ka khyaal nhi,
Mukhatib hone ki aas mai ho.-
الجھیں سلجھی سی زندگی ہے،
خاموشی کے عالم میں دل میں طباھی سی مچی ہوئی ہے،
میری اس بےچینی کا سبب تو نہیں مرشد تیرے یادیں بنی ہوئی ہیں۔-
Khubsurti mitti ki,mojza banane wale ka,
Magroor tu h numaish mai,
Or dar h nhi tujhe uski azmaish ka.
-
Meri khwaish ko bewajah badnaam krte ho,
Tum apna batao khud ko kahan kahan nilaam krte ho .-
Zindagi ka dastoor bhi nirala h,
Bina jhoot k ab kaha chalta ye zamana h,
Is dhundhli duniya mai kahan koi rang badalta hua nazar ata h.-
Pheli mulakat mai hi,
zindagi guzarne ki baat krte ho,
Abhi dil ko chuae nhi,
Or khwaab sajane ki baat krte ho.-