Jo Dil Dukhaye Woh Gair Hain,
Chalo Gair'o se Gila Kya..
Jinko Sar-aakhon Par Baithate Ho;
Aakhir Un Apno Se Mila Kya?-
Psychology student📚
Love to write❤
Ek baat puchna chahungi tumse,
Agar itni si bhi ijazat ho meri.
Dil se toh durr kar hi diya tha tumne,
Achha ho; agar rooh ko bhi ab baksh do meri..
Us khuda se kabhi sikayat nahi kiya maine,
Par ek sawal se darta hai dil aaj bhi.
Qayamat ke din jo pucha jayega tumse,
Agar ho tayiyar; toh sun lo woh sawal aaj hi.
Agar tumhara naam lete waqt, Rab ke samne ek aasu bhi nikal aaya mera?
Kabhi socha hai us waqt Khuda ke aage kya hashr hoga tumhara?
-
Woh raat
Woh raat, na maine kuch pucha
Na tumne kuch kaha.
Sharm se jo tumne sarr jhuka diya,
Maine apne aasu'o ko haske chupa diya.
Char(4) saal ka bharosa, ek raat me toot gaya;
Uss bewafai se toh, mera khuda bhi rooth gaya..
'Kyu kiya aisa' na puchne ki kabhi himmat aayi,
Aur 'forever' wale riste ne be-waqt hi Maut Payi..-
Mana jo kuch bhi tha humara
Baaton ka faraib hi tha tumhara..
Woh chup kar mulakatein, woh saath ke waadein,
Matlab nahi tumhare liye; woh anginat yaadein..
Fir kyu;
Fir kyu rubarooh karaya uss jaal se
Jhooth ka ye sailabh tum yuhi behne dete,
Mai khush thi;
Mujhe dhoke mein hi rehne dete..-
Dil Nahi Kiya
Chaha jo unko itne shiddat se, rafeeq
Fir kahi dil lagane ka dil nahi kiya.
Jo aakhein uthti thi bas unke deedar ko,
Aaj unke seher aake; milne ka dil nahi kiya.
Jo haath pakar gali-chaurahe ghuma karte the,
Woh haath dua mein uthane ka dil nahi kiya.
Jo majak mein ekbar kaha tha "Rote huye pyaari lagti ho"
Aaj tak muskurane ka dil nahi kiya.
Raabta khatam karliya hai unhone,
Ab mera baat badhane ka dil nahi kiya.
Kehte the majbooriyan hai unki bohot,
Khair, unhe bewaafa kehne ka dil nahi kiya.
Kitna lachaar kardiya aaj ishq ne mujhko,
Par unke alawa kisiko chahne ka dil nahi kiya.
Kehte hain log ki mai badal gayi hoon,
Mere andar uss maare shaqs ko fir azmaane ka dil nahi kiya.
-
Humare jaane ke baad,
Dekhenge aisi chahat kaha azmaaoge.
Wada raha,
Jagg mein mil toh jaoge,
Par kabhi ghar nahi dhund payoge.-
Aisi kaisi mohabbat apki,
Ishq-e-Ruswayi bhi mere naam aayi.
Faqat chaha bhi na gaya apse,
Aur khone ke darr se aakh bhi bhar aayi?-
Tujhe paane ki khwahish chod aaye hain, rafeeq
ki
Tujhe paane ki khwahish ab chod aaye hain, rafeeq
Ab ek hi janam mein kitne hasrat'o ka qabr banayen..
-
~《 Yuh toh kehte hain, waqt kisi ke liye nahi rukta
Par kabhi theher jaye toh kya hi baat hoti 》~
Zindagi ke bhag-daud mein,
Apno ke liye waqt nahi.
Khushiyon se daman bhara hai,
Par ek haasi ke liye waqt nahi.
Maa-Baba ki yaadein saath toh hai,
Par baatein karne ka waqt nahi.
Har yaar ka sampark hai Mobile mein,
Par dosti nibhane ka waqt nahi.
Jin rishto ko marr chuke hum,
Unhe dafnane ka waqt nahi.
Dil toh gaam liye pada hain
Khulke rone ka waqt nahi.
Aakhon mein neend hai bhari,
Par sone ka waqt nahi.
Daulat ke piche yuh bhage,
Aaj thakne ka bhi waqt nahi.
Gairo ke khawaisho ki chinta karte karte,
Aaj apne sapno ke liye bhi waqt nahi...-
Baatein karni chahi toh,
Bas sannatta aur Maun mila.
Aap sabke liye ho,
Aapko; apke liye, kaun mila?.-