Bhul chukaa tha kuchh raste purane,
Par kuch haadshe nahi bhulaa.
Umr guzar gaye talaash mein shayad,
Par koi thikanaa nahi milaa .
Dard ki bediyon mein bandha hua mein,
Jaese hi maikhane tak chalaa .
Shuru hua dil ke qabristan mein jaese,
Yaadon ko dafnaane kaa silsilaa.
-
Gehri raat ke saath jab aankhon ki
nami badh jaaye toh samajh jaana,
Roshan savere se lauta hua hasmukh
Mukhota jaroor utaar chuka hoga.-
Beshaq humse behtar ki
Khoj kijiye,
Mil jaye koi toh hamein bhi
Bataa dijiye.
Bass ek hi shart hai jo aap
Yaad rakhiye,
Naa mile koi toh janaab
Laut ke na aiye.-
Bechaini ki naav chhod kar sabr ke
kinare mein lautna chahta hoon.
Bikhre hue khud ke tukdon ko phir
ek arso baad jodna chaahta hoon .
Waqt ke imtehaan ne iss tarah mujhe
apni keemat se waakif karaya,
Iss sabak ko gale mein taabiz bana ke
thoda mehfooz rehna chaahta hoon.-
Haq jataane ki toh
dur ki baat hai,
Khwaabon mein bhi
ab naa aane do.
Zikr toh hoga aur
fikr bhi hogi ,
Par thak chuke hain
ab tum rehne do.-
Koshish karo jitni dafaa
Par samajh nahi aati hai,
Yeh zindagi hai saaheb
Paheliyon mein uljhati hai.
Jab suljhaane baithe toh
Raat kam pad gayi aur,
Rishton mein peerona chaha
Toh kaaynat kam pad gayi.-
Galat raah chun ke tune
Pairon ko kyun dosh diya?
Apna samajhne ki bhul kar
Gairon se kyun shikwa kiya ?
Andhere ko cheerne ki khaatir
Kyun tu ban baitha diyaa?
Zindagi mein sabke Ujala bharke
Khud ko kyun jalaa diya?-
Chaahaton ki baadh dil mein
Naa aaye toh achha hai,
phir kisi ki tamanna sar chadh
Naa bole toh achha hai.
Akhir anzaam hoga dil-fenk
Ashiquon ki tarah yaaron,
Bachchon ki tarah jidd karna
Dil chhod de toh achha hai.
-
Jiski aag se tapti ho saari dharti,
Aur usse baadal dikha de aukaat.
Guroor bhi waese ghutne teke,
Masumiyat se jab ho mulakaat.
Andaza lagana mushkil hai yahaan
Taaqatwar aur kamjoron ki bhed,
Dar-asal hoke galatfehmi ka shikar
Akhir mein reh jate mann mein khed.
-
Chaukanne rehna e musafir
Kahin bhatak na jaye tu yahaan,
Dabaa hai ummedon ke bojh tale
Madad ke liye jaayega kahaan?
Khoke armanon ke sanduk ki kunji
Daboch ke sapnon ka galaa,
Akele andheron mein bina sahare
E musafir kahaan tu chalaa?
-