"ख़ुशबू" मोहब्बत है हमेशा साथ चलती है
मै तन्हाई में भी तन्हा नहीं रहता
-
HAR KOI NILAAM MOHABBAT, HUSAN KEY BAZAR MAI... read more
Hazrat Imam Muhammad baqir (a.s):
Jo shaks Aqeeq ki Angoothi (ring) banwaye aur uske naginay (aqeeq) per "MUHAMMAD'UN NABI'ALLAH WA ALI UN WALI ULLAH" likhwa le, khuda usko buri mout se bachayega aur uska khatma khair per hoga..
(Reff: Tehzeeb-ul-islam , page-47)-
Na mohabbat se na nafrat se
Mujhe toh mehboob ki galatfahami se dar lagta hai
Na guftagu se na khamoshi se
Mujhe toh khushbu ki berukhi se dar lagta hai
Na teer se na khanjar se
Mujhe toh unki ankho key anso se dar lagta hai
Na baato se na tano se
Mujhe toh teri naarazgi se dar lagta hai
-
Wo Hayat-e-ruh Dil-e-chaman Ki
Gulnaaz Bhi Hai
Tu Mere Khush Zindagi Ka
Raaz Bhi Hai
Uski Zubaan Khamosh aur Dil Main Mohabbat Ka Paigaam Bhi Hai
Mohabbat Mai Dard Mujhe,Akele tujhe Aaram Bhi Hai
Gul Tujhe Kaise Na Do Duaayen Ki Jis Dil Mein
Tu Dost bhi Hai Dildaar Bhi Hai
Maloom Hai mujhe Tu Kuch Mujh Se Naraaz Bhi Hai-
Us Gul Ko Tehzeeb-E-Guftagu Nahi Aati
Mohabbat Unko, Nafrat Mujhe Nahi Aati
Mujh Ko Yaad Wo Ruhi-e-hayat Hai Aati
Aye Dil, Kya Kha Wo Bhi Yaad Karte Hain?
Mujhe Toh Kabhi Hichkiya Nahi Aati-
Ruhi-e-hayat Main Jaan Se Jaunga
Mohabbat Mein Tera Ka Kya Jayega
Kar Diya Hai Tum Ne Kirdar Ko Badnaam
Dekh Lena Ab Aysa Hi Bana Jayega
Haseen Ankhein,kirdar Aur Dil Dekha Kar,
Ja Rahe Ho Khair Dekha Jayega
Roz-e-hashr Hogi Meri Tasveer-e-kirdaar Nilaam Jo Tune Baniyi Hai
Kuchh Toh Sawal Tum Se Bhi Kiya Jayega
Jis Tarah Din Hota Raat Ko Bardad
Ek din Berukhi Ka Gham Mujhe Maar Jayega
Zindagi Mai Mout Bhi Aa Jayegi
Mohabbat Hogi Tumhe Kis Se? Ab Ye Dekha Jayega...-
Jo sakht baat suno dil se toot jata ho
Mere aayna ki nazakat ka usko kya maloom
-
Hazrat Rasool-E-Khuda (Saw) Ney Farmaya:
1). Jo Shakhs Salam Karne Se Pehle Baatein Karni Shuru Kar De Usse Jawab Mat Do Aur Aane Wala Jab Tak Salam Na Kare Usko Khane Ki Tawaza (Khatirdari) Na Karo.
2). Sab Se Ziyada Aajiz Wo Shakhs Hai Jo Dua Karne Mai Aajiz Ho Aur Sab Se Ziyada Bakheel (Kanjoos) Woh Hai Jo Salam Karne Mein Bukhal Kare(Kanjoosi Kare).
(BOOK-Tehzeeb-ul-islam Page-430)
-
1).Hazrat Imam Musa Kazim (A.S):
Awwal Neki Jo Baap Apke Baccho Key Sath Kar Sakta Hai Wo Ye Hai Ki Uska Naam Acha Rakhein.
2).Hazrat Rasool'allah (Sws):Jis Shaks Key Char Bachche Paida Ho Aur Unmey Se Ek Ka Bhi Naam Mere Naam Per Na Rakhe Usne Mujh Per Zulm Kiya.
3).Hazrat Imam Musa Kazim (A.S):
Jis Ghar Mai Mandarjadail Naamo Mai Se Koi Naam Hoga. Us Ghar Mai Faqiri Nahi Aa Sakti.Yani
Ya Muhammad (Ya Ahmed )
Ya Ali
Ya Hasan
Ya Hussain
Ya Talib
Abdullaah
Ya Fatima
(Book-mezaan-ul-hiqmat, Page-154-155)-
1)-Hazrat Imam Musa Kazim (A.S) Ney Farmaya Ki "Chokandaar"(Beetroot) Bohat Hi Achi Tarkari (Sabzi) Hai.
2)-Hazrat Imam Reza(A.S) Ney Farmaya Ki, Apne Bimaaro Ko "Chokandaar"(Beetroot) Key Pattey Khilaoq Ki Unme Shifa Hi Shifa Hai.Nuqsaan Aur Kharabi Mutlaq Nahi.In Patto Ko Khakar Bimaar Chain Se Sota Hai, Magar "Chokandaar"(Beetroot) Ki Jarr Se Soda (Bhool ney Ki Bimaari) Paida Hota Hai.
(Reff-Book-Baqir majlisi "Tehzeeb-ul-islam" Page-106)
-