Kaise bhala log ab zindagi basar karte hai
na jane kyun masoomo pe zulm karte hai
Huliya bana kar Islami kyu Allah ke naam pe Qatal karte hain.โ๐ป-
Aur jab kuch na bacha toh humne apni khushiyan khairat kardi.โ๐ป
-
Baat shukr ki hai.
Mano toh Katra bhi samandar
na mano toh dariya bhi
kam hai.โ๐ป-
Gam e tanhai dur karega kaun
hum bebason ka sunega kaun
hum Aziz gunahgar ke kandho par hai gunahon ka bojh besumar
humari chikh o pukar sunega kaun
Dil me khuda ka khauf ankhe sharm se nam malum padte hai duniya-dari me fanse hum is janjal se nikalega kaun
alif se hoo tak karu talash Mere Allah tujhe.
wasta tere mehboob ka tujhe ya rab tere siwa is Aziz ko apna kahega kaun
Kisi khandar me tanha apne gunahon ke bojh tale daba sehma sa main ya Allah is andhere se tere Habib ke siwa mujhe nikalega kaun.
Bebason yatimo besaharon ka hain wo Sahara baroze hasr humara hath Rasool e khuda ke siwa thamega kaun.โ๐ป-
someone asked me that,
Can love be proved?
I said why not. Jab aap kisi ek saks ke sath puri umr guzar dete ho aur budhe ho jate ho fir ek din aisa aata hai jab aap dono me se koi ek saks pehle duniya se chala jata hai aur aap tanha rah jate ho is duniya me uski yadon ke lathi ke sahare. us din mohabbat sahi mayine me "proved" ho jati hai.โ๐ป-
Aur fir Deen ne hume apnaya jab duniya se humne muh fer liya.โ๐ป
-
Karta dekh fizul-goyi kisi ko Rashq aata hai hume apni khamoshi pe.โ๐ป
-
Aaj dekha tha maine usey ainey me
Jo ab mujhe meri tarah nahi lagta.-
Aur jab rishte mahenge ho gaye tab humne daulat ekatthe karne suru kiye.โ๐ป
-