शयाद कभी बता ना पाऊ, तुम हो सके तो मेरी खामोशी मे छुपी वो बात सून लेना,
जिंदगी की राहो पर यू तो मिलेंगे कई, तुम हो सके तो मेरा साथ चुन लेना।-
कविता को पढ़ना आसान है,
कवि को नहीं।
🎙🎙, 💓 💓
Ab aankho ko jara rahat di jaaye,
Dil ko ek jhalak ki dawat di jaaye,
Jo dino mai saath nahi,
Chalo sapno main unse baat ki jaaye!
-
Aaj na shikayat, na fariyad karenge
Saal k aakhri din, bas iss saal ko yaad karenge
Kal ki chinta mai poore saal daude hai,
Aaj bas beete lamho ki baat karenge,
Saal k aakhir din, bas iss saal ko yaad karenge-
Ayy khuda,
Bichad kar phir milwana, kya yeh tujhe manjoor hai?
Yeh teri razza hai, ya meri mohabbat ki fitoor hai
Jise bhula diya, usse phir saamne laana kya yeh tera dastur hai?
Meri kahani mai, mai hi roya,
Kya mera hi dil majboor hai?-
मैने भगवान को झुकते देखा है,
इस जाहां को रूठते देखा है,
एक माँ की आंखों मैं आसूं देख,
मैने मुरारी के दिल को भी टूटते देखा है।-
Ab waado par bharosa beshaq nahi hai,
Tum mohabbat nibhao toh, hum shakhs ab bhi wahi hai!-
Zindagi mai har samay kisiko chahna zaroori toh nahi,
Kahani poori na ho saki, par adhuri toh nahi
Lamhe mai tujhe jiyu, ya tujh mai lamho ko,
Tu phir b durr na jaaye zaroori toh nahi!!-
Iss baar mai nahi, bas ek khabar aayegi,
Ek aakhri baar dekhne ko nazar teri bhi taras jaayegi,
Meri rooh iss baar bas meri hoke chali jaayegi,
Mai toh chala jaunga, tumhe yaade badi satayegi!-
Mai chala jau uss se pehle mujhe rok lena,
Mai lautkar aane walo mai se nahi hu!-
Uss shakhs ki pareshani ko kaash kisi ne suna hota,
Kaash uss mushkil ghadi mai, usse chod jaane k jagah kisine usse chuna hota,
Kaash usse bithakar kisine samjhaya hota,
Zindagi khubsurat hai badi yeh dikhaya hota,
Kaash uske muskan ka dard koi jaan leta,
Usski har baat mazak toh nahi yeh maan leta,
Kaash usse taano ki jagah kisine hausla diya hota,
Woh pal bhar mai guzar jaane wala raahi,
shayad do pal aur jiya hota!-