Ye Jo Humari Baatein Hai, Aakhiri Hai?
Ya'ani Uss Shab Jo Tum Hansi Thi.
Wo Hansi Aakhiri Thi?
Kal Tak Saheliyon Ki Tarah Baatein Karti Thi.
Ya'ani Wo Roohani Baatein Aakhiri Thi?
Mujhko Baaton Mein Lagar Khud So Jaya Karti Thi.
Ya'ani Wo Khwabeeda Mulaqaatein Aakhiri Thi?
Tumhari Sath To Saato Janam Guzaarne The.
Kisey Khabar Thi Ki Ye Umr Aakhiri Thi.-
Main To Tarasta Raha Deedaar Ko Bhi Tere.
Haaye Wo Khushbakht, Choomta Hoga Till Bhi Tere.-
Wo Safed Gulaab
Jo Apke Baalo'n Tak
Na Pahuch Sake
Saare Murjha Gaye Sayoni-
Main Tumhari Aankhon Mein Dekhte Hue.
Apni Saari Adhuri Nazmein Tumhe Kah Dunga.
Wo Nazmein Jo Bimariyo Ke Din Tumhari Rooh Se Kasheed Kar Ke Likhi Gayi Thi.
Taaki Meri Zindagi Mein Pasra Andhera Tumhari Roshni Se Chhat Jaye.
Aur Hum Taaro Se Saje Khule Aasmaan Ke Niche Nayi Duniya Ko Kheenche.
Ek Aisi Duniya Jaha Se Baith Kar Tumhari Aankhon Ki Wusato Ka Safar Karu Main.-
Sab Uski Chunri Mein Sajne Ke The Khwaab Liye Baithe.
Hairat Hai Tum Uski Chunri Ka Muqaddas Daagh Ban Baithe.-
Meri Aankho'n Pe Bane Halqo Ki Wajah Puchti Ho?
Meri Aankho'n Se Khwaab Dekho Ek Pal Na So Sakogi.
Mere Bistarey Pe Salwato'n Ki Wahaj Puchti Ho?
Bechaini Mein Qarwat Badal Ke So Sakogi?
Mere Dill Azaar Ashaar Ki Wajah Puchti Ho?
Jeete Jee Jo Marr Jao To Samajh Sakogi.
Mere Chupp Rahne Ki Wajah Puchti Ho?
Mukhtasar Sunau? Siskiyaan Sunogi?-
Issey Behtar Kya Dua Deta Ki Usey Mujhse Behtar Mile.
Magar Haaye Afsos Mujhse Behtar Koi Nhi Jaana.-
Dill Ko Haar Aaya Ishq Rawaana Kar Ke.
Ro Pada December Bhi Bichhadne Ka Bahana Kar Ke.-
Tere Wasl Se Moattar Na Ho Saka Main Kabhi.
Hairat Hai Ki Meri Shaawl Se Teri Khushboo Aati Hai.-
Hum Wo Khudsar They Jisey Apni Bhi Tamanna Na Thi.
Hairat Hai Ki Teri Tamanna Mein Maare Gaye.-