Rudra Bharadwaj   (Rudra Bharadwaj)
189 Followers · 103 Following

Just a "Wanna Be"
Joined 25 September 2017


Just a "Wanna Be"
Joined 25 September 2017
8 MAY 2018 AT 1:04

Mere bichde yaar ko koi ye paegaam pohoncha do,
"Ab iss toote dil ko kisi marham ki khwahish na rahi."

-


7 MAY 2018 AT 11:43

Tootta taara dekh humne ek choti si khwahish ki thi,
Aaj usi khwahish ne hume chote chote tukdon me tod dia.

-


4 MAY 2018 AT 12:43

Jab bhi darwaze par koi dastak deta hai,
Mera rom rom teri aahat ki guzarish karta hai.

-


1 MAY 2018 AT 23:21

Adhoorapan phir poora ho jaega,
Raat ko subhah, shaam me mil jaega.

-


20 APR 2018 AT 16:55

Nazaare aaj bhi vahi hai,
Bas tumhare dekhne ka nazariya badal gaya.

-


11 APR 2018 AT 1:12

Tumhari farebi nigaahein,
Mere kalam ki zubaan ban gai.

-


6 APR 2018 AT 1:29

Hume unke saath ki khwahish kya hui,
Vo toh hume zaruratmand hi samajh baithe.

-


31 MAR 2018 AT 23:10

Zindagi ek complicated circuit hai,
Kisi ke kareeb na aana,
Yahan sab nangi wires hai.

-


30 MAR 2018 AT 23:32

Khushnaseeb hai vo aashiq,
Jinhe aashiqui me aashiyana mil jata hai.

-


28 MAR 2018 AT 15:50

Jazbaaton ko alfaazon me tabdeel karna aasaan nahi,
Par vo alfaaz hi kya, jisme dafn tere jazbaat nahi.

-


Fetching Rudra Bharadwaj Quotes