Shiksata.n haal hai fir bhi
Yaqee.n tujh par hi hai ya rab
Lahu aankho me hai ta farsh
Liye jaayenge naam e rab
Zulam ki daastaa.n itni to
Lambi ho nahi sakti
Magar ye meri qismat hai
Filistee.n naam hai ya rab
Jabee.n hai chaak badan chaak
Jigar chaak o "qafan" chaak
Nigaahei.n aasmaa.n pe hai
Ilaaahi aayega tu kab
-
MOTIVATOR
POET
BIBLIOPHILE
A GOOD FRIEND FOR BROKEN HEARTS
STILL LEARNING
You can Fo... read more
Kon fariyaad kare kon manaaye usko
Sub.ha barbaad kare Raat jagaaye usko
Zabt karna kahi kahi durust hota hai
Koi samjha ho jo ye baat bataaye usko
Chashm e tar uski kahkashaa.n ujaad dete hai
Koi le aao aaina , dikhaaye usko
Zindagi kab meri marzi se basar honi hai
Aaiye saath me fir aag lagaaye usko
Dil shikastaa.n ho to laazim hai laa-ilaaj rahe
Yahi behtar hai k na kaam me laaye usko
Rahiye khoob pareshaa.n agarche khush bhi ho
Goya kis waqt mere #ASHK nazar aaye usko-
Us jagah roshan hua ye dil jaha tha aaftaab
Goya hum cheeckhe bahot the bheeD me peh lajawaab
Dair me rehna bhi aasa.n to nahi hota huzoor
Chhat pe apni aasmaa.n to hai magar be maahtaab
Baat apni na bani kyu.nkar tumhein batlaau.n kya
Chand apne the sawaal aur wo to fir haazir jawaab
Chaahiye usko k daale pairahan kazzaq ka
Jee churaane nikle hai wo khwamkhaah hi benaqaab
Ghazl to puri ho jo likh paau.n koi jhoot to
#Ashk teri bolne ki sach bahot aadat kharaab-
Tujhse bolu.n kya koi tujhse jo imkaan nahi
Khaal pehne huye hai bheDiye , insaan nahi
Zakhm dena to aadatan usool hai unka
Wo alag baat hai k ab tak koi nishaan nahi
Chup hi reh jaau k niklegi sadaaqat warna
Jhoot keh du mai kaise ye meri zubaan nahi
Laakh nuqte , hazaar chaak , saikdo.n dhabbe
Itna kuchh ho ke wo kehte hai be.imaan nahi
Aag tapke labo.n se baat gar kahe koi
Uspe ye marhala , "Jannat mera makaan nahi"
Chand rishto.n ki dor kaat kaat kehte hai
Dor kachchi hai kisi me bhi yaha jaan nahi
#Ashk tafteesh jab kiye to bolte yu.n hai
Kya kaha ? Humne ye ? Achcha humein dhyaan nahi !-
Kuchh waqt hum ko diya karo
Kuchh waqt hum se liya karo
Dereena raah , tanhaa safar
Mere saath bhi to kiya karo
Mujhe rokne ki hai sau wajah
Mujhe milne ki bhi dua karo
Mujhe hai pata tu hai khoobru
Mere roobaru bhi hua karo
Koi baat gar na hua kare
Shikaayatein hi kiya karo
Tujhe dekhne ko taras gaye
Mere aaino se mila karo
Chalo tay karo koi waqt ab
Aur #ASHK ko Ittila karo-
Kuchh surkh se baadal thehre hai.n
Aur unme bhi kuchh gehre hai.n
Har samt hai cheekh - pukaari si
Maano sab ke sab behre hai.n
Toofaa.n hai utha ik aisa k
Taa - dasht samandar lehre hai.n
Karne ko charaagha hum kar dein
Par hawa pe kiske pehre hai.n
Hai waqt qayaamat ka shaayad
Rukh - e - arsh jo sabke chehre hai.n
Ho #ASHK bhala ke pehle hi
Hum qabr ke neeche thehre hai-
Mukhtasar ho agar koi qayaam achcha hai
Chhaan.v me zulf ki uski araam achcha hai
Jiske ho jaane se aa jaye unko mera khyaal
Aisi sardi ka wo har ik zukaam achcha hai
Rooth jaana yu humse humko hi manaane me
Filhaal kuchh bhi kaho , intiqaam achcha hai
Qatl to yoo.n bhi mera unko kar hi dena hai
Marna khud hi se ghaaliban haraam achcha hai
Sabko de deta hai thodi jagah wo dil mein
Log samjhe hai yahaa.n ka nizaam achcha hai
Honth pe phool khile dil me dabe ho khanjar
Aise logo.n ko door se salaam achcha hai
Tum se mil ke abhi abhi jo gali se guzre
Wo bhi kehte hai #ASHK ka kalaam achccha hai-
Muddato.n ka hisaab aaya hai
Aaj unka jawaab aaya hai
Khat ke pehle khuda ko yaad karu
Kya khabar kya azaab aaya hai
Laakh rehti ho.n ba - naqaab magar
Khat to ye be - naqaab aaya hai
Itr hai yaa k itrdaan miyaa.n
Yaa ke waahid gulaab aaya hai
Padhiye aahista koi sun lega
"Aaj fir tera khwaab aaya hai !"
Raat ka waqt uspe unka zikar
Khwaab me jaise khwaab aaya hai
" #Ashk sahab ye khat humein de dein"
Iska address kharaab aaya hai-
Mai dhundhle aasmaano.n mein
Charaagaa.n kar to aau par !
Mai bhoole baaghbaano.n ko
Sikha doo.n baaghbaani par !
Ufante har samandar se
Ladaa doo.n apni kashti par
Ye pheeke kuchh sitaaro.n ko
Mai raushan kar to daaloo.n par !
Mai tujh ko yaad gar kar loo.n
To bhoola baith jaata hu
Mai kuchh alfaaz likhta hu
Jo bas khud ko sunaata hu
Mai jab naraaz hota hu
To tanha baith jaata hu-
Yu kho kar ke khyaalo.n me
Mai likhne baith jaata hu
Mai jab naaraaz hota hu
To tanha baith jaata hu
Zara kam-aql hu shaayad
Bharosa jald karta hu
Ghaaliban haar kar thak kar
Pareshaa.n baith jaata hu
Hai jazbaato.n pe thoda zabt
So aksar muskuraata hu
Mai dar jaata hu tanha raah me
So gungunaata hu
Mere rukhsaar ke naqshe
Mujhe patthar dikhaate hai
Teri unchi awaazo se
Sehem kar baith jaata hu
Mai jab naaraaz hota hu
To tanha baith jaata hu-