People see money
They want fame;
Losing all their shame;
Even not putting up
Their A Game;
They want to
Embrose their Name;
Little do they know;
Successful people
Just Aim;
And never stop
Until their goals are Claimed!!-
Hume lagta hai
K Log hume nahi samjhte;
Log samjte hai
K hum unhe nahi samjhte;
Is nasamaji mai;
Hum yeh kyu nahi samjte
K unke hisab se woh
Sahi hai;
Or humare hisab se hum;
Bas Samaj,Samaj ki farak hai
Or Jo fir bhi na Samje
Woh Nasamaj hai!!-
Tujse toh sab pure
Tuj bin sab adhure hai;
Khushi ho ya gam
Ya kisi ka nachane
Ho jaye mann;
Tu bezuban
Bache ki Bane zuban;
Woh tu hi hai
Har kisiki
Jeene ki vajah;
Purey duniya ko
Jo Juda hua rakhey
Woh hai
Sa Re Ga Ma Pa Dha Ni Sa!!-
Khuda ki rehmat hai
Jo yeh barkat hai;
Zindagi ne di hume
Yeh rehmat hai;
Sir par hai
Pagdi sidhi;
Or Dil dhadkta
Tumhara har pal hai;
Mano ya na Mano
Agar shukar guzar raho toh
Khushal tumhara jivan hai!!-
Aise toh rishte hotey hai kai;
Par unme se humara kuch khas hai;
Kuch na bolu mai;
Fir bhi smaj jaye tu;
Itna ek dusre k upar Vishwas hai;
Aaj bhi bachpan ki
Anginadh yaadein sath hai;
Dusri Maa hai tu meri
Iska tuje bhi ehsaas hai;
Isly Mera pehla shabdh
Tha Tu;
Itna muje tujse pyaar hai;
Kya kahu or ab mai tere liye
Aaj tere Janam din par
Har alfaaz mera ab
Is Duri se Naraz hai!!-
Baaho mai teri kuch Aisa ulaj jau
Khushbu se teri kuch Aisa khil khilau;
Jab bhi tere paas aau
Ek halki si muskan mere
Chehre pe yuh chupau;
Kuch kehna bhi chahu
Kuch sunna chahu;
Haa jab bhi mai
Karna chahu yeh
Meri ankhein band
Apne Pyaare GHAR
Ka Sukoon or kahi bhi
Dhundkar bhi na dhund pau!!-
Krishna bhi tu
Or Kans bhi;
Ram bhi tu
Or Raavan bhi;
Kaal bhi tu
Or MahaKaal bhi;
Pyaar se raho
Toh tu Bane bhagwan bhi;
Or Nafrat dikhao
Toh tu koi Asur se Kam nahi;
Kitna gehra hai yeh
Mayajhal ka samundar;
Chahe kitne hi
Kyu na lagao gote
Kaha koi insaan nikal
Paya hai Issey kabhi??-
Zindagi mai
Aadhi chize toh
Yuhi sulaj jaye
Agar Mai hi kyu se
Hum Mai bhi kyu nahi
Ka Safar Tay kar le!!-
Har jagah sirf
Aaj hai tera Naam
Par kya koi ban
Saka hai RAM?
Vanvaas kaata tha tune
Par kya koi Bina Karan
Sab chodkar kar skta hai
Aisa kaam?
Ek ankh uthi thi
Teri stree par
Toh Setu banake bhi
Kar dia tune
Ghamandi RAVAN ka kaam tamam!
Raha dur Luv-Kush se
Fir bhi afsos na jataya tune
Aisa tha Tera Charitra
Isly to ghunjta hai
Aaj bhi Tera Naam
Ohh Mariyada Purshottam Ram!!!-
Dost se badkar
Bhai hai tu mera;
Yaaro se bhi jyada
Yaarana hai
Tere sang mera;
Yuh to tere mood swings
Sehen karne ka
Hai bada jhamela;
Mann toh karta hai
Laga du tere liye
Teri favourite French Fries ka mela;
Kabtk rahega aise akela;
Dhundkar la meri bhabhi
Kahi ho na Jaye
Tere budhape ka savera;
Chal ab jaldi milke dena muje party
Aakhir kar aaj birthday Jo hai tera!!
-