Kisi ne kya khub kaha hai🙊
Log juth nahi bolte❌
Akshar sach badal jate hai guzarte hua waqt ke sath🕐-
Ek din to me deserve karta tha
Ke vo kahe
Rohit preshan ku hote ho
Main hu na tumre sath... Trust me
But her replies
*I am done
*Leave me alone
*Rohit tum na please mujhe akela chord do
*Rohit meri situation ko samjho
*Rohit please tumhra bahut ho gaya yaar
*Rohit tum mujhe kabhi nahi smjhoge
Or me shuru se hi uski situation me uska sath deta hua chala gaya jis din apne huk ki baat boli
Usi din sabse bura ban gaya-
Log khe to dete hai ki tension kis baat ki leta hai
Jo hoga dekha jaiga
Pata to bs us insaan ko hota jisne smne vale ko khud se bhi jada caha hota hai
Sach kha kisi ne ke kisi ke jane se zindgi khatam nahi hoti
Par ye btana vo bhul gaya ke phir vapas zindgi vesi bhi nahi hoti
Baat mere maan me bhi hai bahut khene ki par dharta hu kahi vo preshan na ho jai
Varna chata to me bh hu
Ke ek baar vo mera hath pakad kr bol de ke tu tension ku leta hai
Situation jessi bh ho sath tere hi rahugi🕉️-
Maa sunno na
Ap jaldi se thik ho jao
Apko bahut miss kar rh hu
Maan kar rh hai apse bahut jada baate karne ka
Apki sewa karne ka
Apko hasane ka or apke lia phirse chocolate leke ane ka
Apke hath ki vahi lemon tea peene ka
Vhi jb ap fish bnaogi to intzaar karuga apka mujhe bulane ka
Apke hath ki bani hui vahi swadisht fish khane ka
I know thoda sa naadan hu me manta hu
Par apko bahut yaad karta hu
Ap bas thik ho jao fta fat
Or ajao delhi
Phir ho saka to sath me morning walk pr chala karuga apke sath
Bs ap or me or hum bahut sari baate krege-
Jaan bhi luta sakta tha main uske lia
Ye khub ache se pata tha use
Par pata na tha vo meri jaan hi nikal degi-
Jab insaan ko apni marzi ka nahi milta to vo bade pyaar se kh deta hai
Kismat se jada or kismat se kam kha kisi ko mila hai
Or jab apni marzi ka mil jai
To vo bh bade pyaar se kheta hai
Koshish karne valo ki har nahi hoti
Ye dekh kar smjh ata hai insaan halato me kitna jaldi khud ko badal leta hai-
Ye din bh kabhi guzar jaiga
Tu ek din phir smbhal jaiga
Phir vahi zindgi ka mor hoga
Tu or bs teri kamyabi ka shor hoga
Zindgi me phir kabhi lad-khadana mat
Kamiyabi ke bich kisi or ko lana mat
Safar apna kisi ke ane ya jane se rokna nahi
Iske baad tu kabhi tutna nahi
Teri hassi phirse bas teri hogi
Ispar kisi or ka naam phir kabhi likhna nahi
Zindgi phir yunhi chalne lagegi
Tu bas phir tu hi rhena phir kabhi kisi ke lia badalna nahi-
Logo ne kha ke ache karam nahi kia to zindgi dubara nahi milegi narak me janaa padega
Humne bh muskura kar puch bethe
Vha isse bhi bura hal hota hai kya zindgi ka-
Chord kar chala gaya har koi mujhe apni adaat dalva kar
Koi apni purane Ashiq ki dasta sunna kar
To koi apni ghar ki mazboori bata kar-
Agar cahu me rona to bhi main galat ho jau
Agar kuch lu me faisla to bh main galat ho jau
Chup rahu uske kuch khena par to bh main galat ho jau
Kuch kh du main apne halat par to bh main galat ho jau
Brahmin ke caha me brahmin hone par bh me uski awaj na ban pau
Uske is khamoshi par bh main galat ban jau
Ab to lagta hai bas ab main chup ho jau
Ankhen band karu or zindgi ki khamoshi ko dhur karne ke lia sapno me jor se chillau-