Gul murjhane ko hai hukumat-e-bahaar ke,
Humne sirf dekhe hai ishtihar rozgaar ke.-
My strength
Pen & Paper
Guitar
Phone
Friends.
Koi pyar de toh ehsaan ni... read more
Pareshaniya poochti mujhe sawaal hai,
Tere chahne walo ke kya haal-chaal hai.
Gham ki shaam hai jeena muhaal hai ,
Hawa sard hai aur tera khayal hai .
-
Riyasat-e-Mohabbat ki tum rajdhani ho,
Main Pyass hoon tum paani ho.....
Shararti Bachpan, Samajhdar Budhapa, Alhad Jawani ho,
Main Paheli hoon tum siyaani ho.....-
Kambakht Kho gai meri azadi ,
Jhoothe rishte nibhate nibhate.
Khud se rooth gaya hu,
Isko-usko manate manate.
Haal! Koi pooche toh batau ,
Thak chuka Diye jalate jalate.-
Gareeb Soye खाली पेट, Wazwan Khaye Hukamaraan,
Chilaye सड़कें, Roye Bachiya, Dekh Tarraki Hindostan.-
Haath se Dil bana kar voh poochhe Dil-e-betaab ka haal,
Ho na bhi sukoon toh main keh duga sukoon hai....-
Uski muskurahaton ki hukumat mein Ishq qaid tha,
Mere dil pairvi bhi karta hai toh uski hi taraf se.-
Shayad Voh Sahi bata rahi thi apne Ghar Ka Pata,
Humhi Veham mein thy, ki voh Dil mein rehta hai .-
Yeh sardiya bahut sard hai tumhare bina,
Dekho kitna dard hai tumhare bina.
Humne yu toh dekh rakha hai sara zamana,
Par yahaan kon humdard hai tumhare bina.-