Tere Inzaar Me Kya Kya Na Hue Haal Dil-e-Beemar Ke
Mai Khud Hi Awaaz De Raha Hu Tujhko Pukaar Ke..-
Wo Ghar Ki Zeenat Hai Rehmat Hai,
Uske Qadmo Me Hi To Jannat Hai
Wo Apne Walid Ke Paas Amanat Hai.
Kisi Ki Amanat Me Na Khayanat Karna..
Suno Ae Ibn-e-Aadam Tumhe Farz Hai.
Bint-e-Hawwa Ki Sada Hifazat Karna..-
Bechainiya To Azal Se Muqaddar Hai Apne Naseeb Ki..
Fir Kya Kare Shikayat Kisi Se Hum Apne Habeeb Ki..-
Bechain Dil Me Ehsas-e-Ulfat Abhi Bhi Hai..
Mujhko Tere Naam Se Chahat Abhi Bhi Hai..
Faisle Darmiya Laakh Sahi Magar Jaana'n..
Dooriyo'n Me Dilkash Rahat Abhi Bhi Hai-
Waraq Waraq Me Bikhri Kahaani Tere Naam Se Hai..
Dil-e-Muztar Me Saanso Ki Rawaani Tere Naam Se Hai..
Haqeeqat-e-Zindagi Lafzo Me Bayan Mai Aur Kya Karu..
Meri Zindagi Ki Ye Zindgaani Tere Naam Se Hai..-
Dil Ne Jab Dariya-e-Ishq Se Aankho Me Tufaa'n Laa Diye..
Fir Usne Apne Rukhsaar Pe Zulfo'n Ke Baadal Saja Liye..-
❤️
Duaao Bhari, Ye Baharo Ki Raat Mubarak Ho..
Khushiyo Ki Ye Dilkash Saughaat Mubarak Ho.
Chaand Eid Ka, Nikla Hai Falak Pe Ye Kehne Ko..
Meri Ajeez.! Ye Dilnashi Chaand-raat Mubarak Ho..
❤️
A Very Happy Eid Mubarak To All Of You...-
Chhitak Kar Zulf Chehre Pe Na Tum Chhat Par Shaam Ko Aana..
Jaana'n.! Kahi Koi Eid Na Kar Le Abhi Ramzan Baaki Hai..-
Mat Ro Ae Humnashi, Yu'n Rona To Buzdilo Ki Nishaani Hai ..
Kategi Ye Gham Ki Shab, Khushiyo Ki Subah Bhi To Aani Hai..-
Khaak Hokar Bhi Ek Ummeed Jagata Mai Rahunga..
Khamosh Rehkar Bhi Rasm-e-Ulfat Mai Nibhata Hi Rahunga..
Bujh Bhi Kyu Na Jaaye Ek Roz Ye Shama Zindagi Ki Meri..
Ek Diya Tere Naam Ka Dil Me Jalaata Mai Rahunga-