Dil ka haal to sirf khuda jaanta hai
-
Mujhe pta hai Ki Betiya'n rahmat hoti hai
Par mujhe lagta hai
Betiya'n tab tak hi rahmat hoti hai
Jab tk Wo bachapan jee rhi hoti hai
Jaise hi Uski umr me ijafa hota jata hai
Maa - Baap or bhaiyo'n k bojh me ijafa hota jata h
-
Aaj ka din ye sabaq chor Kar rukhsat hua keh..
Namaz jaruri h koi kaam nahi
Khawah wo Jung ka maidan hi kyoun na ho-
Suno ladkiyon
Ek baat kahni h tumse
Bhai ka Maan ho tum
Aire - gaire pe Maan mat kar Lena..
Maa ki jaan ho tum
Begairaton k liye jaan mat De Dena..
Baba ki sar ki taaz ho tum
Kisi kamjarf ki sar ki taaz mat banna..-
Ab mahsus hota h keh..
Mohabbat usse krk Maine Mohabbat jaya krdi-
Mai Apni nazar me acchi hu'n
Duniya Ki nazar ka Maine thek'ka nhi liya-
Kis baat Ki Khushi manyai ja rhi
Naye saal aane Ki....
Are doston...
Taarikh - mahine-saal badal rhe h
Hmari zindagiyan nhi-
Log jindagi me aa k jindagi ban kar
Jindagi se jindagi cheen lete h-