Ek bachpan ka zamana tha,
Jisme khushiyon ka khazana tha.
Chahat chand ko pane ki thi,
Pr dil titliyon ka deewana tha.
Khabar na thi kuchh shubah ki,
na sham ka thikana tha.
Thak kr aana school se,
Pr khelne bhi to jana tha.
Ma ki khani thi,
Pariyon ka fasana tha.
Barish m kagaz ki nao thi,
Hr mausam suhana tha.
Ek bachpan ka zamana tha!!
-