Main haar gaya tujhe paane me bhi, aur bhulane me bhi ;
-
Mera kuch nahi hai is jahan me,
Dekh aaj December bhi tere (13) hai ;
-
Main usko nahi likhta,
na likhta hu uski yaad se;
Me kafir be talim tha jo,
Shayar hua hu uske baad se;
-
Nikal kar dil (❤️) se tere, kahi aur fir basera (🏠) nahi hua,
Charag ( 🪔 ) boht se jalaye ghar me magar, kabhi sawera nahi hua (🌄) ;
-
Khuda tune meri kaash ek kwaish ko pura kiya hota,
Mene tera faisala samj, use kaash jaane na diya hota;
Ke aeb, me toh maan bhi leta saari khwaish teri,
Kaash tere shaksh ne bhi tujhe maang liya hota;
-
Mudatan kisi shaksh me koi buri aadat nahi,
Mushkilaat tab hai murshad, jab ek shaksh ki buri aadat ho ;
-
Gulaab sa mere yeh dil, aaj jaakar pathar sa kahi hua,
Uski shaadi hai aaj; yeh jankar mujhe dard nahi hua ;
-
Mohabaat ke jaam ka, sabr yaar maut tha,
Woh jis barsaat se khus thi, us barsaat me roya bhot tha;
-
Kabhi dar badar, kabhi farsh par,
me khoya ra dard me raat bhar;
na neend pata, na chain ki khabar,
Woh milne aai is baar,
Akhari baar is shart par;
-
Woh jisne tere tasveero ki itna sambhal ke rakha hai,
Kabhi waqt mile toh sochna, tere kitna khyaal rakhta ;
-