Uss ishq ko kya yaad kare jisse aj tak hum ubhar hi nahi paaye
Di jo tumne ek ankahi dastak, lo aa gaye hum firse tumhare saamne sar jhukaye-
Kash koi fasana hamara bhi hota
Mera yuh bewajah muskurane ka koi bahana toh hota
Hum toh isi intezaar mei reh gaye ki
Dil ka yeh kissa kabhi mukammal, sirf tumse,
hamara bhi hota-
The heart attempts to quest for in illusion,
for the contiguity it has a yen for in reality.
Continously exhausting to maintain its sanity,
amidst being surrounded by an incessant conflict,
departing itself from a penchant of clarity.
-
Aakhir wo kya baat hai,
jo mujhe tumse dur jaane nahi deti
Tumhari ek dastak,
un chupaye jasbaton ko firse panha hai deti
Yeh meri kamzori hai ya tumhare liye mera ehsaas
Jo meri tumse dur jaane ki koshish ko
har baar nakam hai kar deti-
It is better to keep some things to yourself, although you might not be wrong, others might not understand you.
-
Baatein dil mei wo kayi chupaye hue the
Kisi sunne wale ke intezar mei nazare bichaye hue the-
Nadan khwabon ka parda ek din zarur uthta hai,
Insaan apni khudgarzi se upar uthkar sachai se beshaq rubaru hota hai-
Daawa toh sab karte hai, kabhi saath nibhane wale bano
Umar bhar ki baatein bahut huyi, pehele kuch kadam toh saath chalo
-
Sometimes you don't fall for the person but for the emotional attachment you crave for.
-
Unke badalne ka intezaar humne kuch itna kia
Ki hamare jasbaaton ne hi humse muh mod lia-