Pyar toh nhi, nafrat bhi nhi
Ek dujhe se dur hum khush bhi nhi.-
Entry to this world on 22nd November ,
Try to express my feelings... read more
Riste pyar ki ab nhi rahi
Lekin kahani humari adhuri nhi
Aaj hum sath nhi
Phir bhi koi gom nhi..
Tu khush hai uske sath sahi
Teri namhi ankhe sab bol Pari..
Hume ab pyar ki kasam nhi
Tere mere koi ab riste nhi..
Jina hume aane lagi
Ab kisika koi jaroorat nhi..
-
Ankhe sacche dil walo ke nam hi milenge,
Ye dunia hai janab,
Haste hue ko bhi rote hua payoge...-
Maine aaj waqt se pucha
Kab mera waqt badloge
Waqt ne jabab mai bola
Waqt ka kadar jab aap karoge...
Kisike liye jab waqt kharab nhi karoge
Khud ke liye khud waqt jab dhundoge.
Hum aapke sath har pal chalte jaate
Phir bhi har din aap mujhe hi sunate
Waqt aap khud hi badloge,
Hum sirf antim waqt tak sath nibhayenge.-
Mujhe aaj ka pata nhi,
Phir bhi kal ka sapna sajati hu.
Mai apni dukh mai bhi,
Khush rehna pasand karti hu.
Khud hi sabse dur rakhke,
Khud ko akele jina sikhati hu.
Samaj nhi payoge kabhi,
Yehi bolke tera irada samajti hu.
-
Khone ke liye ab kuch bacha nhi..
Paane ke liye lekin dunia baki..-
Chahe barish aaye ya tufaan
Yaad kisika bhi ab nhi aate..
Lagta hai dard bhi ab bhag gaya
Nhi toh takat ka pata kaha se dhundte...
-
Hai na!!!
Dard jisne bhi dekha hai
Hasna jaroor sikha hai...
Dard jitna gehra hota hai
Utna hi jina sikhata hai...
-
Ye dunia hai humara
Har din ladte hai jine ke liye,
Phir bhi jina chorte nahi hai.
Ye nakaab hai humara
Har din ek hasi ke piche chupate hai dard,
Phir bhi hasna chorte nhi hai.
Ye hum hai janab
Sapna dikhake tod bhi lena,
Phir bhi sapna dekhna chorte nahi hai.-
Mujhe samjhao mat
Mai sab samajta hu
Yehi toh baat hai
Isiliye samjhati hu....-