Paheli si lagti hu
Badti duniya k sath choti lagne lagti hu
Apne is vajood ki vajah tarashne lagti hu
Bas khona nhi chahti is bhul-bhulaiya mai
Mile nhi to vajah khud banana chahti hu-
Wese Toh Pichhe Pade Hai Mere Laakho Deewane
Magar Saari Umr Mujhe Sirf Tere Sang Bitana Hai-
Nazre aapki mera aaina ban gayi hai
Bahe aapki meri duniya...
dhadkane aapki mera geet
Ye pyar na jaane ab jahan ki koi bhi reet
Jahan ki koi bhi reet...
-
Wakt
Sab sikha deta hai......
Milata bhi yahi
Bichadta bhi yahi
Duniya ko duniyadari sikhata hai yahi-
Khabar na ho jiski vo manzar pana hai
Jis par aashcharya na ho vo kya khoob jeena hai
Raahe tham jaye beshak rukna na hai
Girte sahi sambhal lenge bas chalte rehna hai-
Is wakt ko kya bayan karu jab koi nhi bas tumhari yaad hai
Akele baithi hu pr lagta jaise pura jahan sath hai
Khayal tumhara hoton ki hasi bante ja r hai
Aur intezar tumhara dillo ki dhadkan
Hai ye zindagi ka sabse khoobsurat pal....... sabse khoobsurt pal-