Reema Insha Β  ((Insha) Ridhima)
108 Followers Β· 13 Following

read more
Joined 31 December 2019


read more
Joined 31 December 2019
9 JUL AT 0:50

"Raatein Kaisi Hoti Hain Na..."

Raatein kaisi hoti hain naa β€”
Jaise dil ka darpan ho,
Din bhar ki muskaan ke peeche chhupi har baat ka sach.
Kabhi ek purani yaad se milwati hain,
Kabhi kisi adhoore sapne ka hisaab poochhti hain.
Kabhi kisi ke khone ka dard phir se jaga jaati hain,
Aur kabhi kisi ke hone ka sukoon bhi ban jaati hain.
Jeet ka jashn bhi inmein tanha lagta hai,
Aur haar ka dard bhi kuch zyada gehra.
Par inhi raaton mein toh milta hai waqt khud se,
Jahan hum kisi aur ke nahi, sirf apne hote hain.
Chup si hoti hain raaten,
Par sabse zyada bolti hain β€”
Dilon se, yaadon se, un jazbaaton se
Jo din ki roshni mein darr ke peeche chhup jaate hain.
Raatein bas raat nahi hoti,
Woh ek safar hoti hain...
Khud tak laut aane ka.

-


9 JUL AT 0:29

Wazood uska bhi zinda h
Jise log kehte h maut saath le gyi

-


17 JUN AT 23:04

Baat jab zindagi ki hoti h
To bezaar ho jaate h vo log
Jinhone apne sapno ko mar
Zindagi ke har pehlu ko
waqt diya hota h

-


17 JUN AT 22:52

Sapne Akanksha aur Afsos.
"Gender discrimination" nhi krte

malal sabhi ko h kuchh na pane aur gum har kisi ko kuchh khoo Jane ka

-


9 JUN AT 23:19

Sadko pe basi bebasi kaha sabko nazar aati
Khud ki takleefon se kayi jyada unki takleefe mujhe Nazar aati h
Shikayate kayi ki hai bhagwan tumse nadaniyon me
aaj samajhdaari me shukar manati hu
Naa sir se chhat Jane ki takleef mili
naa khane ko tarasta mann dekha
Mai khud ki takleefon ko Aaj
kyion ki takleefon se kam dekha
Gum bass aaj itna mana raha h mann
nanhe se paw ko garm zameen pe tang dekha
maine dekha bachpan garmi ki aag me jalta
maine dekha kaise maa ke anchal se
vo khud bacha Raha h
Maine aaj fir zindagi se sikha
Mujhse jyada mushkil zindagi kaise ek Chhota bachcha nibha raha h
Kaise thak Jana asaan aur ladte rehna mushkil h
Par zindagi har din takleefon ke nye rang mujhe dekha Raha h

-


27 MAY AT 18:57

Meri kamiya bhi to meri hi zindagi ka hissa
Jo mann lu inhe to simat jau
pehchan lu to lipat jau
janti hu mushkil jo aaj lag raha
vo kl asaan bhi ho jayega
isse jyada jab mushkil kuchh aur nazar ayega
janti hu sahi nhi h shayad ye kamiya
par galat jaisa bhi kuchh samjh nhi ata inme
Sikh rahi hu zindagi se zindagi ko jeena
Khoya khoya jo bhi h mujhme
Usko fir talash rahi hu
Mere hisse me aayi kamiyo ko tarash rahi hu

-


22 MAY AT 22:46

Jab purushon ke daur me
Auraton ne chaar diwari chhod
Pehchaan banne ki tyaari ki
Tab auraton ko maryadaon ke
naam pe bandhne ki koshish ki jane lagi

-


22 MAY AT 21:09

Bahar ka shor kitna bhi ho par
mann ke shor se jyada kaha sunayi deta h
Chhan bhar ko jo shant bhi ho
par ye duniya ka mahaul kaha mann ko khamosh rehne deta h

-


22 MAY AT 20:58

Shor se jyada khamoshiyan bhati h ab
Kyuki mann ka shor pehle hi sone nhi deta ...
Sapne to kayi h
Par sapno ke ghar me jinhe rakhna tha
ab wahi nhi h

-


18 MAY AT 22:37

Maa jab anchal tumhara kam hua zindagi me to
Tufaan kayi sare ek saath satane lage h

-


Fetching Reema Insha Quotes