Rayan Khazi   (RAYAN)
3 Followers · 1 Following

read more
Joined 21 April 2019


read more
Joined 21 April 2019
2 NOV 2022 AT 2:21

Hadd-e-pyaas tho yun badhi thi zindagi mein
Kabhi tasavvur tha uss mukaam ko paane ka
Haqiqath ne yun sarhadd bana rakhi hai
Ab khayal hai tho bass iss shaam ko paane ka

-


11 JAN 2022 AT 23:49

Misaal-e-noor lagti hai teri khubsurat nigahein.
Rab ki neymath hai jab bhi tu muskuraaye.
Sochta hun uss hasi ko haasil
karne ki khwahish rakhun,
Par lagta hai uss muskan mein
Basi hai uss Rab ki duayein.

-


2 JAN 2022 AT 10:36

Masth nazron se dekh lena tha
Gar thamanna thi azmaane ki
Hum tho aise hi behosh ho chuke thhe
Kya zaroorat thi muskurane ki

-


18 NOV 2021 AT 18:13

Ussi kashti mein doob jaayenge
Faizan-e-Mohabbat ka aisa Junoon ho jiss mein
Shauk se thod do iss dil ko, tum hi ujad jaaoge
Rehte tho magar tum hi ho iss mein

-


9 NOV 2021 AT 18:39

Arre izhaar-e-ishq tho hum harr roz karthe
Darr hai ke unke liye hum kabil nahi hain
Junoon unki khwahishon ko poora karne ka tho hai
Par darr hai unn khwahishon mein hum shamil nahi hain

-


7 NOV 2021 AT 7:21

Mohabbat ho jathi hai tumse
Itna khubsurat chehra hai tumhara
Log kehte hain chand ka tukda ho tum
Hum tho kehte hain chand tukda hai tumhara

-


7 NOV 2021 AT 7:17

Logon ka bharosa na karna
Kehte hain Kashmir ki Kali ho tum
Khuda ne tumhe phool tho banaya
Lekin Zameen par nahi,
uss Jannath ki pali ho tum

-


28 OCT 2021 AT 23:23

Mere khwabon ke galiyon mein yun rehte ho
Haqiqath se vaasta rakhne ka dil nahi karta
Zaleel hain mehfil mein, bedard unn adaaon se
Kathl-e-aam karti hain bhi tho,.. yeh dil nahi bharta

-


30 JUN 2021 AT 0:07

Logon k paas auzaar nahi
Alfaaz hi unki talwar hai
Ehmiyath na dena unnki baathon ko
Laakhon ko roushan karthe tumhare deedar hain

Unsoone rakho unke lafz
Unsoone chhodo unke afsaane
Yeh sheher hai koi mehfil nahi
Yahan khubsurti ke unhokhe hain paimaané

-


15 JUN 2021 AT 18:06


Usski aankhon mein samundar dekha tha
Voh ruksar meri raahein bann gayi hain
Usski muskan ko kya hi yaad karun
Voh hasi tho meri fizayein bann gayi hain
Saansein rok letha hun ke darr hai
Kahin bhool na jaaun voh chehra
Ab Uska chehra hi kyon dekhun main
Voh tasveer hi meri nigaahein bann gayi hain.

-


Fetching Rayan Khazi Quotes