Tum, mat badalna,
Chahe wo tumhe nawaz de tareefon ke fool se
Yaa tumhare zarre zarre ko bhar de tumhari burayiyon se
Tum, mat badalna,
Chahe tumhare sarir ke dararon ko bharne ki kosis kre
Ya tumhare jism ki kharocho ko or gehra kre
Tum, mat badalna,
-
Tu Chala to hai apni raah par
Apni khawhison ko Pura Karne
Apni Ghar ki chaon bhulkar
Us ret ke aadi hone
Par es bat Ka kya bharosa
Ki sukun tujh mil hi Jayega
Jo khawhis Puri ho gyi
To or koi khwab naa satayega
Tu ek Disha me nikla hai
Tujhe chaurahe me bhtkna Hoga
Tujhe manzil milte hi
Dusri manzil ki aur badhna Hoga
Par us daudan Apne Dil se puchna zarur
Ki khwabo ko Pura Hona sukun tha
ya sukun ab bhi Kisi khwaish ki taalash mai hai
-
Khush bhi Nahi hu, or Kisi baat Ka malal bhi Nahi, Jaane kon sa daud chal rha hai Jeevan Ka !!
-
Ab tumse pyar Nahi
Tumpe Marti thi pehle
Tumse ladti thi pehle
Par ab tumhare liye
Ehsaas Nahi
Jaana ab tumse pyaar Nahi
Ab Tu chahe mujhe khuda man le
Ab Tu chahe Kar le sajde mere
naam ke
Par ab tere liye jazbaat nahi
Jaana ab tumse pyaar nhi
Baat ye nhi ki aati Teri Yaad nhi
Baat ye nhi ki tujhpe aitbaar nhi
Baat to bas yahi hai ki
Jaana ab tumse pyaar Nahi
Ab tumse pyaar nahi
-
Kabhi fursat Nikal Kar
Kisi chai ki tapri par
Sath Beth kar
Apne Sare gile shikwe bayan kr dena
Warna afsos Ka kya hai wo to
Taumar rahenge-
Us ek cup chai ki garamahat
Or Teri khati mithi baatein
Bas yahi to hai choti si duniya meri
šššššš
-
Tu wo eklota shaksh hai
Jiska naa Hona
Besahara hone Ka ehsas dilata hai,
ā¤ļøā¤ļø-
Ke aaj fir Dil maayush sa hai
Ibadat rab ki krne gyi
Or Yaad tu aa gyi-
Likhne ke liye alfaz to nhi mil rhe
Par khayal es bar bhi Tu hi h
šš-
Chalo suruwat se shuru krte hai
Tumme kya khamiyan thi
Ya mujhse kya galtiyan Huyin
Tum majboor huye
Ya fir main khudgarz.
Tumne sath xoda
Ya mera haath xuta
Kuch aise hi kashma kash chal hi rhi thi ki Yaad aaya tum to ho chuke ho ab Kisi or ke š-