खूबसूरत तो चाँद तब भी है, जब वह अधूरा है
पर इस अधूरेपन की कसक से ही वह खुश नहीं।-
Kal mai khudse naraz tha!
Kisi baat par na mai khush tha,
na mujhe kisi baat par naaz tha
Kyuki, mai khudse naraz tha
Khudki koshish ko khud hi nakarana
Har acchi hoti baat ko khud hi maarna,
Galat baaton ko dil par lagaya
Khudko thoda jada hi galat thhehraya
Ha, galti hoti hum sabhi se hai
Jabse seekhna shuru karte hain
Yeh baat sach, tabhi se hai
Maaf khudko karna bhi toh jaruri hai
Kyuki galat jabtak na karein hum kuch
Tabtak, sahi ki ahamiyat adhoori hai
-
हवा ठंडी, उत्साहित हो जब दीये के पास आई
जलते दीये को शायद यह बात भी रास ना आई!-
Kyu, baatein khudko dohrati hain?
Kuch samay baad wahi
Alag rang roop me samne aati hain
Kabhi koi milta hai jiski baatein
Man me ghar kar jati hain
Toh kabhi kuch baatein bas, man ko
Yuhi udaasi se bhar kar jati hain
Lagta hai shayad yeh shabd naye hain
Par inse wahi purani si ek mehek aati hai
Jo pehle bhi hum dekh chuke
Sun chuke, waisi hi kuch yeh baat nazar aati hain
Shayad inka koi gehra arth hai
Jo yeh baatein hume batana chahati hain
Par sochte kaha hai hum itna,
hamare liye toh bas
Kuch baatein hai,
Jo yuhi sanjog se
Khudko dohrati hain!-
इस कद्र, सूरत की बात जो करते हो
कभी झुठलाये नहीं गये हो क्या?-
ताउम्र इस बात से परेशान रहा, कि
किसी ना किसी बात से परेशान रहा-
Kaash
Kaash yeh 'kaash' na hota
Man tab udaas na hota
Kitni icchayein isme dabi reh jati hain
Baat hamari humse hi yeh keh jati hain
Ki "kaash tab yeh kar liya hota"
Ya "kaash tab woh keh diya hota"
Haarne ka gum itna nahi hota hai
Jitna man is 'kaash' se rota hai
Jo nahi hua, shayad woh nahi hi hona hota hai,
Khudko tab samajhane ki jarurat hai ki-
"Ae man tu is Kaash se bhala kyu rota hai"
"Jo nahi hua, Woh nahi hi hona hota hai"-