Ab to nikal aa tu apne ander se..
Ab Tujhe khud ki jarurat hai…-
a leo,from personality,we blve in enjoying life to the maximum.... read more
Mujh par khula ye raj, jab mein hua 30 ka..
Ishq or hawas mein farq hai 19-20 ka…-
Mat puch mujhse
mere jagne ki
wajah-e-chand..
Koi tera hi
humsakal
hai Jo sone nahi deta…-
Duniya tuli thi humko banane ko devta
Par hum kisi bhi haal mein pathar nahi hue…-
Jabse dekha hai in ankhoon ne tum ko..
Hum in ankhoon ki nazrein utarne lage hai…-
Apni ichao ko simao se bandhe rakho..
Warna ye shoq gunaaho mein Badal jaate h…-
Maadari mujhko khuda laga
Jab chota tha mein tab..
Khuda mujhe ab maadri lagta hai
Jab bada hoke dekhta hoon tamashe uske…-
Khud ko mein itna samet sakta hoon..
Tum kahin bhi bana do kabr, mein usme late sakta hoon…-
Mein dhoop mein jalkar kala nahi hua hoon..
Ye jimedaariyo ke koyle mein sulaga hua hoon…-
Jab kaat ne wale, chaat ne lag jae..
To maan lo, waqt tumhara chal raha h…-