Jab hum chhote hote the to humein likhne ke pen nahi dete the aur bahut gussa ho jaate the ke humein kiyun pen se likhne nahi dete.........
Samajh mein ab aaya ke tab humare haath mein pencil thi taki humse jo galati ho jai use sudhar sakenge. Lekin ab humare haath mein only pen hai ab humare paas koi mauka hi nahi hai ke galati sudharne ka.
Isiliye ki zindagi ek fair copy hai raugh nahi. Ab is copy mein jo likhna hai soch samajhkar. .......-
Agar Ishq ko zinda rakhna hai to use adhura hi rehne do...........
Kyunki mukkamal hue rishte akshar gile sikwe aur sikayaton mein ulajh kar thandi raakh ban kar reh jati hai.................. isiliye mohabbat adhuri hi sachi hai usme woh tadap bhi sachi hai..........aur woh Dard bhi apni hi hai kisike saath baant na nahi padega.....
True Line......-
2024 ke shuruwat mein bahut achhi shuruwat hui mujhe bahut sari khushiyan mili phir dhire woh khushi mujhse chhin li bhagwan ne. Lekin kehte hain na ke jo bhi karte hain insaan ke achhe ke liye hi karte hain
Phir jaise jaise saal gujarta gaya mujhe bahut sare problems ka samna karna pada main bilkul toot si gayi apno ka saath bhi chhut gaya himmat aur confidence level khatam ho hogaya. Lekin phir at the end of the year finally I got a job. woh bhi man chaha salary ke saath aur uske baad mere apno ka ummeed mujhse phir se jood gaya.
Woh bhi do guna ab main apni family ki apni aurse 💯% help kar paungi. Iss saal se maine yeh sikha ke jo bhi ho hojaye koshish karna nahi chhodna hai aur maine koshish ki thi family se door bhi hui gaon se district se bhi door hui. bahut roi thi main bahut si taqlifon ka samna kiya tab jaake yeh success mila hai. Thank you bhagwan Ji
Thank you 2024....
And bahut ummeed bhara 2025 most welcome 🤗-
Pati aur patni ke rishte mein do log hote hain aur yeh dono ko yaad rakhna zaruri hai ke dono hi insaan hote hain imotion, feelings dono ke same hi hote hain. Yeh dono phir bhi zindagi bhar saath rehte rahte hain aayine ki tarah. Ek dusre se kuchh bolne se pehle hi dill ki baat samajh lete hain..
Matlab ki itna mazboot hota hai duniya mein yeh rishta. Aur agar iss rishte kabhi kisi ek dusre ki safai dena padjaye to phir auron mein aur samne wale koi fark nahi rehta. Yeh dono do dill ek jaan hote hain ek dusre ki situation pata honi chahiye.-
(Shadi, marriage, Vivah) kehne bas ek word hai Lekin asal yeh ek commitment hai. Jo kehne mein to simple saa hai. Magar beta..................
Iss commitment ko imandari se puri zindagi nibhana mushkil se bhi zyada mushkil hota hai. Yeh suru to do logon se hi hota hai lekin inn dono ke beech mein do Parivar ka faasla hota hai. Kabhi bhi koi bhi baat bolne se pehle hazar baar sochna padna hai . Pata muh se nikla hua kaunsa word kab kiske dill ko chubh jaye................-
Purane riti riwaj abhi bahut log maante hain .... Iska matlab yeh nahi hai ke sare sahi unme se kuchh aise riwaj Hain Jo shirf auraton ke liye hain jo bahut galat hai iska proof hai
"Lapata Ladies"
Haath se lamba ghungat, pati ka naam mat bolna, ladki ko aurat ho ghar ke kaam hi karna bahar koi kaam nahi hai tumhara aur padhayi shirf ladkon ka haq hai............Abhi bhi time hai soch ko badlo.-
Kabhi kabhi akela rehna bhi ek tarah ka meditation hota hai kain saari cheejein dimag mein ghumti hai bahut soch mein padjate hain aur kisi natije pahunch kar hi sukun milta hai kuchh problems ke solutions bhi milte hain dill aur dimag ko thoda sa aaram bhi milta hai isiliye din mein ek ghanta apne khud ke saath bhi bitao khud ke baare mein bhi socho AAP bhi ek insaan ho jeene ka haq hai aapko na ki shirf saanse lete raho...khush bhi raha karo
-
Dusron se agar kuchh ummeed rakhna hai to yeh rakho ke saamne wala Rishte mein imaandar ho truthful ho....
Zindagi behtar hone mein shirf paisa kaam nahi aata balki successful relationship hi marte dam tak saath dete hain . Paisa to haath ka mail hai aaj hai kal saaf hogaya.
Khud ko har haal mein har kisi achhe kaam ke liye kabil banao taki zindagi mein kisi maud par paison ko dhudhna na pade. Aur uske liye kaam ko kabhi underestimate mat karna....
Karm karte chalo karte chalo fal milega hi milega der se hi sahi milega zarur.....-
Isliye Aaj kal Jo baap apni betiyon ke liye government job wala damad dhundh rahe ho zara socho. Agar uske badle aap apni hi beti itna kabil baneye ke woh har haal mein apni zindagi ko behtar bana paye. Dusron ummeed hi kyun lagana woh bhi ek tarah ka depended hona hi hai na.
Sita ji ki tarah pati kabil ho to bhi apne upar lage ilzaam ko jhutha sabit karne ke liye agni pariksha unhone khud dekar safal bhi hui aur pati ke bina bhi dono bachon ko achhi shikhshaa behtar zindagi di. Kisika sahara nahi liya ..........-
Raja Janak ne ek pita ke farj ko pura karte hue apni saari betiyon ki raaj gharane me shadi karai lekin phir bhi hona to wahi hai Jo unke naseeb mein hai. ..
Isliye ek beti ko 14 saal tak pati se juda hona pada aur ek beti pati saath hi sahi lekin vanvas mein aadhi zindagi aur pati ke bina bachon ke aadhi zindagi gajar gayi ...
-