Har raat ke bad ek naya din aata h har bite saal ke baad ek naya saal aata h Mubarak h har din ek bite rat m , khushnuma h har naya saal bite saal m kyun ki waqt ke chalte pahiye m raftar bhi bemisaal hota h....
-
Ashko ki bhi apni ek ada h khushiyo se gam aur gam se khushi juda h har koi duba h waqt ke nashe m jise dekho har koi khud se juda h bas khud pe hi fida h...
-
Waqt ka bhi apna ek ayina hai har sakhs khud mai nahi dusro mai jhakta hai gar jhaakle a bande apne jameer ko beshak wo khud ke wajud mai aashna hai.....
-
Jindagi waqt ka ek parinda hai wo soch me nahi har hakikat mai jinda hai har ek safar m hamsafar ka wasinda hai fir bhi kyu ye jindagi khud se hi sharminda hai har ek udaan me jinda hai.
-
Ye khamoshi bhi Bari kamaal ki chij h bina kahe sab kah jati h mehsus karke to dekho alfaaz byan kar jati h fir kya jarurat shabdo ki bas ek najar chhu kar to dekho sab suna jati h
-
Shor bahut hai is Dil me, mai fir bhi khamosh rahta hu jo kahna h mujhko khud se mujhi se hi mai kahta hu na jane kab ye khamoshi khud hi ek shor banegi, na jane kab ye khamoshi ek kal ka fir aagaaj banegi
-
Ae Manjil bata tu kab ayega aur kitna mujhe yu bhagayega thi Chahat saahil ki kya tu sagar mai lyega insaan hi to hu ek kya fir se nayi udan lyega
-
Kabhi itihas mugalo ne likha kabhi itihas rajputo ne likha kabhi ek Kranti muslim ne ki kabhi ek Kranti Hindu ne ki mere sabab ne bas ye kiya ek chingaari aag bani ek Kranti mai khud bani ek kalam se itihash bhi khud bani
-
Gar na ho mumkin ye jaha jitna gar na ho Mumkin ye jaha pana to kar le ek aur kosis jinda ho ke jina kisi ke dil ko jitna.
-
Sapna jo aankhon ka tha kaha ab wo pura h thi khwaish ye jaha pane ki ye jaha bhi ab adhura h the kuchh tum adhure he kuchh ham adhure mil kar hue jo ab h pure
-