Teri saari aazmaishe
Sar aankho par mere maula
Par us shaks se alag hone ki
Himmat nahi h mujhme ðŸ˜-
Nikle hai vo log
Meri shaksiyat bigadne
Kirdaar jinke khud..!!
Marammat maang rahe hai-
Ae dil hum to shayar nagar ki
Raunak the
Ab to misra kehne ka dhang
bhi yaad nahi
Jin aankho ke kisse
Humse puchte ho
Ab to un aankho kaa
Rang bhi yaad nahi !
-
To ab is gaon se
Rishta hamara khatm hota h
Ab aankhe khol li jaaye
Ke sapna khatm hota hai
Muqaddas muskurahat
Maa ke hotho par larazti hai
Kisi bacche ka jab pehla
Sipara khatm hota hai
Bhot din reh lie dunia ke is
Circus me tum ae 'Shawez'
Chalo ab uth lia jaaye
Ki tamasha khatm hota hai-
Uljhi hui nigaho se
Mujhe dekhta rha,
Aaine me khada shaks.
Preshan tha bhot !-
usse pata hi nahi tha
Saleeqa mohbbat ka
Mene chah kar bataya usse
Aese chaha karte hai !!-
Mein ek buland hausle wala
Ziddi sa shaks !
Jb teri yaado se ladta tha
To aksar ro padta tha-
Raatein kisi yaad me kat ti hai
Or din daftar kha jaata hai
Dil jeene pe mayil hota h to
Maut kaa darr khaa jaata hai
Soch aazad ho to paao
Khud theek jagah par pdte h
Rasto par tawajjoh dekar
Insan thokar khaa jaata hai
Sach pucho to Shawez me aese
Dost se aajiz huu
Milta hai to baat nahi karta
Or phone pe sar khaa jata h
-
Is ehd-e-kam zarf me
Ek ye bhi to rona hai
Vo khaanse toh khaasi h
Hum khaanse to "corona" h!-
Ek baras me humne dekhe
Ek sadii ke dukh "Shawez"
Seena halka hone do
Hum bhi eid mana lenge
-