Ye waqt k bewafayi hai...apno k phir praye krne ki...
Badi mushkil se bane apne...k phir haath chudane ki...
Bayan to fiza b nahi kar sakti ...ye hijr e bahar apna....
Aaghaz k manzar pe hi le aayi ye paigham ..saath chodne kii...-
β Na Mila dil ko sukoon tere saath k saath
β Na Mila dil ko sukoon tere jaane ka baad
βsuna tha k badi raahat deti hai ye mohabbat
βshayad hum khaas hai islye bechaini k saath guzri hamari har raatβ’β’β’β’-
Puri duniya se ladkar Jeet jau oo...pyare oo...wo khushi Kahan jo tujhse haarne par milti hai
-
Ek use khone k darr se hi to dil mayoos hota hai....murshad
Warna us par to bharosa mai khud se bhi zyada karti hu....-
Beshaq haath ki lakeerien khuda ne banayi ho...π«π«
Pr murshad....,
Mai apni kismat khud likhna chahungi-
Ye saal ka mahina phir se agaya...
Youm e ashoor ka din phir se rulayege
Roya tha us din har pathar...or har baadal b khoon k ansu....
Jis din hamare Bibi k ladle is duniya se shaheed hokar chalegye-
Musibato ka samna akele karna sikho..q ki kamyabi apko haasil karni hai saath dene walo ko nahi..
-
Humko chaon me rakha...or khud jalta Raha dhoop me....
Maine dekha ek shaks baap k roop me...-
Gham e raat ki seher nahi hoti...
Agar ho bhi to bi mere ghar nahi hoti..
Aur zindagi tu bhi mukhtasir hojaa...
Aksar raatein mukhtasir nahi hoti...
-
Musibato ka peher tha.....
Pareshaniyan zindagi me dastak de rahi thi.....
Mai fikr se pareshan thi...or
Udhar fajr ki azaan ho rahi thi-