Kaafi meetha bolti hai wo aawaz uski bohot madhur hai..
Sunti hai.. Sunati hai.. Samajhti hai.. kabhi nirash Nahi Karti hai..
Hai kuch gum.. Taklifein.. Pareshaaniya.. uski Bhi zindagi me..
Ye hi sab baatein use Bhulane ki koshish karta Hu mai jab wo mujhse baat karti hai..-
Kaash..
Kaash Mai teri YAADON ko mita sakta..
Kaash Mai tere CHHUNE ko bhula sakta..
Kaash Tere AAGHOSH ki garmi apne zehen se hata sakta..
Ye saari baatein Mai Kabhi SOCHTA hi Nahi..
Agar Kaash tu HUMESHA ke liye sirf MERA ban sakta..-
Kaante..
Kabhi kabhi mere LAFZ mujhe hi RULA dete hai..
Dard ki ungli pakad Kar chal Raha hu Mai, Ab to KAANTE Bhi mujhe PYAAR dete hai..-
Kalam se Likhta Hu..
Bohot kuch LIKHTA Hu Mai..
Kabhi KHUSHI se likhta Hu kabhi DARD me likhta Hu..
Jo DASTAAN aankhon me hai meri..
Zamane ko SUNANE ke liye Mai wo apni KALAM se likhta Hu..-
Chingari..
Mohabbat Bhi bichad gayi thi naukri Bhi hath me nahi thi..
Sirf parivaar aur kuch dost Sath the mere bus Kaamiyaab ban ne ke liye itni CHINGARI bohot thi..-
Kaamiyaab..
Mohabbat me thokar khana Bhi zaroori hai..
Tanhaai me aansu bahana Bhi zaroori hai..
Ye hi sab sabak zindagi me bohot kuch sikhate hai..
KAAMIYAAB hone ke liye barbaad hona Bhi zaroori hai..-
Zaroori hai..
Doob gaya hai wo uska Bahar nikalna zaroori hai..
Ishq ki aadat lag gayi thi use uski ye aadat chudana zaroori hai..
Pata nahi Kab tak ye bojh liye jeeyega wo..
Hai bohot mazboot jaan wo par uska roona Bhi ZAROORI hai..-
Aansu..
Aaj ek aansu aankh se Gira hai pata Nahi khushi ka hai ya gum ka hai..
Waise aansu girte Nahi hai meri aankh se magar lagta hai kahi chubh gaya hai kuch jo mere andar toota hai..-
Maashuka..
Sandali aankhen hai uski zulfein ghani raat hai..
Maathe par chaand saja hai uske chandni se Roshan gaal hai..
Hoonth uske qayamat hai kaan ke jhumke bawal hai..
Tum maano ya na maano yaar meri MAASHUKA bemisaal hai..-
Jeetna..
Toot gaya hai dil Mera abhi himmat tootni baaki hai..
Sirf ishq me haara Hu Mai abhi to JAHAAN JEETNA baaki hai..-