Hum lambe towers se ghire hue hai,
Hume aasmaan kam dikhta hai.
Hum kaise likhe
phool pakshi baadal par kavita,
Hamaare kamre ki khidki se
padosi ka kitchen dikh tha hai.
Hum kaise bole woh mithi bol
Jab sunne ko yaha horn,
Daudte kadam construction ka shor milta hai.
Hum khush ho jaate hai
achha salary milne par,
Tab tak, jab tak haat mein
rent ka bill aata hai.
Hum sochte hai
Koi yaha bewajah baatein kyu nahi karta
Sab ke kaan mein
thusa hua earphone milta hain.
Ek pal ke liye boond boond tak
taraasti hai ye shahar,
Lekin jo laga rahe
usse ek din samandar milta hai.
Ye hai hamara shahar.
-